🌠 *DIWALI AUR NAYE SAAL KI MUBARAK BAADI DENE KA HUKM AUR JAIZ SHAKAL*
⭕AAJ KA SAWAL NO.1146⭕
Diwali ki mubarak baadi Dena jaiz nahin to mere Hindu bhaiyon ki company me job karta hun to unko kaise wish karun? unko mubarak baadi na de to unko bura lagta hai mufti sahab koi jaiz surat ho to rahnumayi farmane ki darkhast.
🔵JAWAB🔵
Mubarak baadi dena na jaiz hone ki do wajah hain ek unke tehwar ki ta'azeem aur dusre unse mushabahat.
Lihaza dil me inki is rasm ko bura samjhte huve aise jumle se unko mubarak baadi dee jaaye Jisse na unke tehwar ki azmat ho na unke jumlon aur rasm se mushabahat,
To gunjaish maloom hoti hai masalan yeh jumla kahaa jaaye diwali ke Is mawqea par aap ko har kaam me sahih rasta mile. Dil me sahih raste se unki hidayat muraad Lee jaye.
Ya naya saal aap ke dono jahan Ki kaamyabi ka zariyah bane
Diwali ke mauqea par ishwar aap ke bhawisaya-future ko roshan-prakashit kare.
english me yeh keh de
May your path be enlightened wagairah dua ke jumle keh diye jaaye.
Behtar yahi hai Ke khamoshi barti jaye aur un ko bura lagne ki fikr na Ki jaaye jab ham shareeat par amal karenge to Allah ta'ala unko raazi kar denge agar che waqti taur Par woh naaraz ho jaaye.
📘FATAWA MAHMOODIYAH 19/567
📗FATAWA BAZZAZIYAH 6/334 SE MUSTAMBAT
📝 MUFTI IMRAN ISMAIL MEMON HANFI GUFIRA LAHOO
MUDARRISE DARUL ULOOM RAMPURA SURAT GUJRAT India.
💻 ROMAN URDU ME MASAIL KE LIYE ZAROOR DEKHE
WWW.AAJKASAWAL.PAGE.TL
Subcaribe Our Channel Www.youtube.com/Bayanatpost
Download Our Application
https://play.google.com/store/apps/details?id=com.islam.group
No comments:
Post a Comment