Thursday, June 28, 2018

SHAUHAR PARDE SE ROKE TO?, PARDAH KARNE KE 40 FAYDE

*SHAUHAR PARDE SE ROKE TO?, PARDAH KARNE KE 40 FAYDE*

⭕AAJ KA SAWAL NO.1399⭕

Mene ne samjhdar hone se jawani aur shadi hone tak pardah kiya, shadi ke baad Mere shauhar mujhe majboor karte hai ke tum burqaa aur naqab mat pehno.
To kya mere liye shauhar ki baat manna jaiz hai?

🔵JAWAB🔵

حامدا و مصلیا و مسلما

Pardah karna aurton par farz hai aur sharaee hukm hai, shauhar ke kehne par na chehra kholna jaiz hai aur na pardah ka chhodna hee jaiz hai, shauhar ko samjhaye aur pardah ke fayde batlaye, (pardah ke 40 fayde jawab ke akheer me hain) fir bhi majboor hee kare to usse talaaq le li jaye, taake woh aisi bivi laa sake jo har ek ko apne husn ke nazare ki dawat de.

Aisi surat me shauhar bhi sakht gunahgar hoga.

📗AAP KE MASAIL AUR UN KA HAL 8/86 Qadeem, 95 jadeed

👇🏻 *PARDAH AUR NAQABWALA BURQA PAHANNE KE 40 FAYDE* 👇🏻

1. GAIR MARD KI BURI NIGAH SE HIFAZAT

2. GALAT TA'ALLUQAT PAIDA HONE SE HIFAZAT.

3. DHUP SE HIFAZAT.

4. DHUL-MATTI SE HIFAZAT

5.pardah thhandi-sardi se bhi bachata hai

6. SURAJ KI KIRNO SE RANG KI HIFAZAT

7. BACTARIA -(JARAASIM-KITANU) SE HIFAZAT.

8. PRADUSHAN (POLLUTION) DHUWEN SE HIFAZAT

9. BADBU SE HIFAZAT

10. KISI KI NAZAR LAGKAR BIMAR HONE SE HIFAZAT

11. SHAREEF HONE KI ALAAMAT (NISHANI).

12 .IZZATDAR HONE KI ALAAMAT

13. MUA'ASHRAH (SAMAAJ) KA BADKARI SE PAAK HONA AUR USKI HIFAZAT

14. ALLAH KI MUHABBAT KA MILNA.

15. RASOOL صلی اللہ علیہ وسلم KI SHAFA'AT KA NASEEB HONA

16. Pardah Paakizgi hai.

17. Pardah Satar hai.

18. Pardah Taqwa hai.

19. Pardah Imaan hai.

20. Pardah nifaq se bachata hai.

21. Pardah aisa sharaee hukm hai jisme deen aur duniya ke faide hain.

22. Pardah niswani husn ka muhafiz hai.

23. Pardah dilon ki pakeezgi or taharat ka zariyah hai.

24. Pardah aurat ki fitri haya ka taqaza hai.

25. Pardah chhote bade kayi gunaah ki rukawat hai.

26. Pardah aurat ke liye afzal tareen amal me se hai.

27. Pardah karne wali aurat apne rab se ziyadah qareeb hai.

28. Pardah shaitaan or uske makr se bachav ka zariyah hai.

29. Pardah taqwa ka libas, aur haya ki daleel hai.

30. Pardah aurat ko fashion ki shararat se mahfooz rekhta hai.

31. .BEPARDAGI KE HARAAM KHWAISH-GUNAH SE BACHNE KI WAJAH SE JANNAT KI BASHARAT

32.pardah libas aur zewar ki riyakari se bachata hai

33.pardeh me chain, haar kisi ke tod jane se saif rehte hai.

34.pardah se andar ka kibas maila nahi hota.

35.pardah karne wali aurat  beparda aurat ke muqable me apne aap ko mafooz (safe) mahsoos karti hai.

36.Pardah karne se makhkhi aur machchhar pareshan nahi karte.

37.Pardah ke wajha se koi sataye to sabr jis ka sawab be hisab hai milta hai.

38.Pardah deendar honi ki alamat-nishani hai.

39.pardah azwaje mutahhraat-Huzoor SALALAHU ALAYHI WASALLAM ki paak biviyin ki sunnat hai.

40.pardah kar ke gunah se bachnewali aurat ka khatmah iman par hota hai.

✏IMRAN ISMAIL MEMON HANFI GUFIRA LAHOO

🕌USTAZE DARUL ULOOM RAMPURA SURAT GUJRAT INDIA

📲Roman urdu me masail ke liye zaroor dekhe

http://aajkasawal.page.tl/

Download Our Application
https://play.google.com/store/apps/details?id=com.islamic.group.kwsjhpvbkgbtlumfelua

No comments:

Post a Comment

AETIKAF KE MAKRUHAAT

*AETIKAF KE MAKRUHAAT* ⭕AAJ KA SAWAL NO.2101⭕ Aetikaaf kin cheezon se makrooh hota hai?  🔵JAWAB🔵 Aetikaf niche dee hui baton se makrooh ho...