Monday, June 25, 2018

GAIR MAHRAM SE DOSTI

*GAIR MAHRAM SE DOSTI*

⭕ AAJ KA SAWAL 1396⭕

Hadis se ma'alum hota hai ke qata talluq rishtah todne wale ko Allah pasand nahin karte to kya dosti ka rishtah bhi is zimn me aata hai?

🔵JAWAB🔵

حامدا و مصلیا و مسلما

Hadis me jo silahrahmi aur qatarahmi ke alfaz aaye hain uska ta'alluk rishtedaron aur qarabat daron se hai, na ke aam doston se,

Haan! kisi bhi musalman se teen dinon se ziyadah tark e kalaam (baat bandh) karne se manaa kiya gaya hai yeh hukm tamaam ahle talluk ke liye hai chahe rishtedar hon ya mahaz dost ahbab,

Albatah kisi musalman aurat ke liye ajnabi ya gair mahram qarabat daar se dosti aur khususi ta'alluk gunah aur haraam hai aur iski bilkul ijazat nahin, is se fitno ka darwazah khulta hai isliye aise logon se qataa ta'alluk (rishtah todna) hi wajib hai aur us par gunah nahin  balke sawab hai.

📗KITABUL FATAWA 6|105

و الله اعلم بالصواب

✍🏻Mufti Imran Ismail Memon hanafi chisti.

🕌 Ustaad e daarul uloom Rampura surat, Gujarat, India.

📲💻
http://www.aajkasawal.page.tl

Download Our Application
https://play.google.com/store/apps/details?id=com.islamic.group.kwsjhpvbkgbtlumfelua

No comments:

Post a Comment

AETIKAF KE MAKRUHAAT

*AETIKAF KE MAKRUHAAT* ⭕AAJ KA SAWAL NO.2101⭕ Aetikaaf kin cheezon se makrooh hota hai?  🔵JAWAB🔵 Aetikaf niche dee hui baton se makrooh ho...