Friday, June 8, 2018

KHATME TARAVIH PAR TARAWEEH PADHNEWALE HAFIZON KO HADIYA DENE KA HUKM

*KHATME TARAVIH PAR TARAWEEH PADHNEWALE HAFIZON KO HADIYA DENE KA HUKM*

⭕AAJ KA SAWAL NO. 1381⭕

Khatme Qur'an par Tarweeh padhnewale hafiz ko khushi se hadiya dena kaisa hai? Hafiz sahab ne taravih parhane se pehle lene ki koi shart nahin lagayi thi.

🔵JAWAB🔵

حامدا و مصلیا و مسلما

Hadiye ke naam se taravih ka intizam karne walon (trustees) ki janib se jo kuchh bhi diya jata hai agarche khushi se aur bila shart ho to bhi jaiz nahin. kyun ke fiqah ka qaidah  المعروف کالمشروط al maroof kal mashroot jo cheez riwaj me ho,  jis ka dhara aur usool chal raha ho woh bila tay kiye bhi shart ke hukm me ho jati hai lihaza aise hadiye ka lena aur dena nasse qatee (Qur'an se haraam) hai

*و لا تشترو بآیات ثمنا قلیلا*
"Haqeer qeematon ke badle meri aayat ko mat bech dalo"

📗Surah e baqarah aayat 41

Albattah imam ko imamat ki ujrat ke saath taravih parhane ka izafa dena jaiz hai

Ba'az cheez asalan na-jaiz hoti hai lekin zimnan ya'ani kisi jaiz cheez ke taabea hokar woh bhi jaiz ho jati hai.

📗 FATAWA MAHMOODIYAH 17/75 ka khulasa

📘FATAWA RASHEDIYAH QADEEM 392 JADEED 143

📙AZEEZUL FATAWA 663

📕KIFAYATUL MUFTI 3/363

📚KITABUN NAWAZIL SAFA 422 SE 577 TAK 155 SAFE ME KAI FATAWA AUR  BAHAS HAI AUR JAWAZ KE HAR HILE AUR HAR FATWE JO AAJ KAL CHAL RAHE HAIN USKA JAWAB DIYA HAI AUR AKABEER KE 11 MUSTANAD FATWON KE HAWALE SE NA-JAIZ HONA HI SAABIT KIYA HAI JISKO JAWAZ KI GALAT FEHMI HUYI HAI WOH USE ZARUR DEKHE JISKO CHAHIYE PERSONAL CHAT PAR TALAB KARE USKI IMAGES BHEJI JAYEGI

   اِ نْ شَآ ءَ اللّهُ

🎤Hazrat mufti saeed palanpuri D.B.shaikhul Hadis Darul Uloom Dewband farmate hai ke Taravih ko ta'alim aur imamat par qayas kar ke uski ujrat ko jaiz qarar dena sahih nahin kyun ta'alim aur imamat ka badal nahin bagair ujrat ke in kaamon ko karne wale nahin milenge aur Taravih me pura Qur'an sunane wale bagair Ujrat-hadiye ko koi hafiz taiyyar na ho to taravih alam tara se padhi ja sakti hai pura Qur'an hi sunana zaruri nahin,
Agar taravih padhane waale hafiz ko hadyaa  muntazimeen (trustee) hazrat ya commeeti de yaa chanda karke de to jaiz nahin,
Haan agar muqtadi hazraat apni taraf se infiraadi taur par de to jaiz balke behtar hai, dena chahiye hamari zemmedari hai

Ahqar kehta ke unka ehsan hai unhone hame Qur'an jaisi azeem neamat padhkar sunai lihaza har muqtadi ko apni haisiyat ke muwafiq apni saˋadat samjhkar naqad rupiye cover me pack kar ke dena chahiye
is tarah hafiz ka ikraam aur us ki housla afzai karni chahiye

و اللہ اعلم

✏(Mufti) IMRAN ISMAIL MEMON HANFI GUFIRALAHOO

🕌USTAZE DARUL ULOOM RAMPURA SURAT GUJRAT INDIA

📲Roman urdu me masail ke liye zaroor dekhe  http://www.aajkasawal.page.tl/

Subscribe Our Channel
Www.youtube.com/IslamicGroup

Download Our Application
https://play.google.com/store/apps/details?id=com.islamic.group.kwsjhpvbkgbtlumfelua

No comments:

Post a Comment

AETIKAF KE MAKRUHAAT

*AETIKAF KE MAKRUHAAT* ⭕AAJ KA SAWAL NO.2101⭕ Aetikaaf kin cheezon se makrooh hota hai?  🔵JAWAB🔵 Aetikaf niche dee hui baton se makrooh ho...