*SHASH KE ROZE KI FAZILAT*
⭕AAJ KA SAWAL NO.1389
⭕
Shash eid ke roze ki fazilat sahih hadis se kya saabit hai?
🔵JAWAB🔵
حامد و مصلیا و مسلما
In rozon ki fazilat ke baare me Huzur Sallallahu Alayhi Wasallam ne farmaya: *Jis ne ramzan ke roze rakhe aur fir eid ke baad chhe (6) roze rakhe to usne goya hamesha (puri zindagi) ke roze rakhe* (har saal ki pabandi ho to)
📚TIRMIZI SHAREEF
📚MUSLIM SHAREEF
Ya'ani Allah ta'ala ke yahaan har neki ka sawab das guna diya jaata hai ramzan ke ek mahine ke roze das (10) mahinon ke barabar honge baqi bache do mahine (islami sal 360 din ka hota hai) to yeh roze ka sawab das guna ya'ani 60 roze ke barabar ho gaya, is tarah ek saal ke barabar sawab milega aur har saal pabandi se rakhe to woh shareeat ki nigah me "saamiud bahr" ya-ani poori zidagi roze rakhne wala hai
📓DARSE TIRMIZI 2/587 Se makhooz
📝 Mufti Imran Ismail Memon
🕌 Ustaze Darul Uloom Rampura,Surat Gujarat India
🖥📲
Roman Urdu me masail dekhne ke liye zarur dekhiye
http://www.aajkasawal.page.tl
Download Our Application
https://play.google.com/store/apps/details?id=com.islamic.group.kwsjhpvbkgbtlumfelua
No comments:
Post a Comment