Thursday, June 7, 2018

KHATME QUR'AN PAR SHEERINI (SINNI) TAKSIM KARNA

*KHATME QUR'AN PAR SHEERINI (SINNI) TAKSIM KARNA*

⭕ AAJ KA SAWAL NO.1380⭕

A.
Khatme Qur'an aur taravih par sheerini (sinni) taksim karna aur uske liye chanda karna kaisa hai?

B.
Koi apni taraf se apne hi kharch se mithai lakar taksim kar sakta hai?

🔵JAWAB🔵

حامدا و مصلیا و مسلما

A.
Khatme Qur'an par sheerini taksim karne ko zaruri samajhna aur is ka aehtamam aur pabandi karna jaiz nahin Huzoor SALALLAHU ALAYHI WASSALAM, sahaba e kiram Radiyallahu anhum ajmaeen aur tabein se is ka suboot nahin milta.

Iske liye chanda karna jaiz nahi.

B.
Koi apni jaibe khaas (apne kharch) se ba-khushi taksim kare to is shart ke saath gunjaish hai ke namaziyon ko taklif na ho, Masjid me aise waqt taksim kare ke namaz me khalal waqea na ho,  masjid aur madsjid ke darwaze par shor gul na ho masjid ke aehtaram wa aadab ke khilaf Koyi baat paish na aaye.

📘KITABUN NAWAZIL 8/395,393

📗BA HAWALA AHSANUL FATAWA 1/377

📕FATAWA RASHEEDIYAH 519

📙SHAMI KARANCHI 2/240 BABUL JANAIZ

و الله اعلم بالصواب

✍🏻Mufti Imran Ismail Memon hanafi chisti.

🕌 Ustaad e daarul uloom Rampura surat, Gujarat, India.

📲💻
http://www.aajkasawal.page.tl

Subscribe Our Channel
Www.youtube.com/IslamicGroup

Download Our Application
https://play.google.com/store/apps/details?id=com.islamic.group.kwsjhpvbkgbtlumfelua

No comments:

Post a Comment

AETIKAF KE MAKRUHAAT

*AETIKAF KE MAKRUHAAT* ⭕AAJ KA SAWAL NO.2101⭕ Aetikaaf kin cheezon se makrooh hota hai?  🔵JAWAB🔵 Aetikaf niche dee hui baton se makrooh ho...