*SADQAH E FITR KE WUJOOB (wajib hone) KA WAQT*
⭕AAJ KA SAWAL NO.1384⭕
Sadqah e fitr kis waqt wajib hota hai aur kis waqt nahin ?
🔵JAWAB🔵
حامدا و مصلیا و مسلما
Sadqah e fitr eid ki subah sadiq ke waqt wajib hota hai,
Lihaza woh bachcha jo subah sadiq se pehle paida huva ya jo subah sadiq se pehle sahibe nisab ho gaya us par wajib hai,
Lihaza woh shakhs jo subah sadiq se pehle iman laya us par bhi wajib hai,
Lekin woh bachcha jo subah sadiq ke ba'ad paida huva Ya koi subah sadiq ke baad maaldaar huva Ya woh sakhsh jo eid ki subah sadiq ba'ad iman laya ya subah sadiq se pehle mar gaya to us Par uske maal me se dena wajib nahin.
📗MASAILE ROZA SAFA 208
✏Mufti Imran Ismail Memon
🕌Ustaad e daarul uloom Rampura surat, Gujarat, India
📲💻
http://www.aajkasawal.page.tl
Subscribe Our Channel
Www.youtube.com/IslamicGroup
Download Our Application
https://play.google.com/store/apps/details?id=com.islamic.group.kwsjhpvbkgbtlumfelua
No comments:
Post a Comment