Sunday, June 24, 2018

AURTON KA GHAR ME SAR KHULA RAKHNA

*AURTON KA GHAR ME SAR KHULA RAKHNA*

⭕ AAJ KA SAWAL NO.1394⭕

Aurton ke liye sar chhupane ki cheez hai, Kya ghar me nange sar kaam-kaaj karna haraam hai?

🔵JAWAB🔵

حامدا و مصلیا و مسلما

Agar ghar me gair mahram jaise chachazad bhai, fufizad bhai, mamu zad bhai, khalaazad bhai, dewar, jeth rahte hon to waaqayi ghar me use sar dhank kar rakhna chahiye, lekin agar ghar me sirf shohar, khusar aur mahram rishtedar ho to sar khula rakhne ki gunjaish hai lekin aehtiyat bahar haal ghar ke andar bhi sar dhanke rakhne me hai kyun ke agar khule sar rahne ki aadat ban gayi fir bekhyali ki kaifiyat paida ho jaati hai aur mahram gair nahram ka farq bhi rukhsat ho jaata hai.

📕KITABUL FATAWA 6|99

و الله اعلم بالصواب

✍🏻Mufti Imran Ismail Memon hanafi chisti.

🕌 Ustaad e daarul uloom Rampura surat, Gujarat, India.

📲💻
http://www.aajkasawal.page.tl

http://www.aajkasawalgujarati.page.tl

http://www.aajkasawalhindi.page.tl

Telegram channel :
Https://t.me/Aa jKaSawalJawab

No comments:

Post a Comment

AETIKAF KE MAKRUHAAT

*AETIKAF KE MAKRUHAAT* ⭕AAJ KA SAWAL NO.2101⭕ Aetikaaf kin cheezon se makrooh hota hai?  🔵JAWAB🔵 Aetikaf niche dee hui baton se makrooh ho...