*BIVI KI BE-PARDAGI*
⭕ AAJ KA SAWAL NO.1398⭕
Aurat sharaee pardah nahin karti to kya shauhar uska zimmedar hoga?
🔵JAWAB🔵
حامدا و مصلیا و مسلما
Aap صلی اللہ علیہ وسلم ne farmaya ke tum me se har shakhs kuchh logon ki nisbat se zimmedar ka darajah rakhta hai aur har zimmedar ko un logon ke baare me jawab dena padega jo uske maa tahat (under) me hain.
📗SAHIH BUKHARI
Isliye shauhar agar bivi ko pardah karne ki talqeen na kare aur bivi ka mizaj badalne ki munasib koshish na kare to Allah ke yahaan jawab dena padega isliye
Baaz sahaba se ye baat manqool hai ke *ba'az khawatin char mardon ko jahannam me le jayegi baap, bhai, shauhar aur betey ko (ke inhone ne mujhe gunah se bachane ki fikr nahin ki)*
📕KITABUL FATAWA 6\100
13 shawwal 1439 hijri
✍🏻Mufti Imran Ismail Memon Hanafi Chishti
🕌Ustad e Hadis Darul Uloom Rampura, Surat, Gujrat, India.
📲💻
http://aajkasawal.page.tl/
Download Our Application
https://play.google.com/store/apps/details?id=com.islamic.group.kwsjhpvbkgbtlumfelua
No comments:
Post a Comment