*FITRAH KITNE & KYA*
⭕AAJ KA SAWAL NO.1383⭕
Ek aadmi ka Fitra kitne rupiye hain aur kya cheez de sakte hain?
🔵JAWAB🔵
حامدا و مصلیا و مسلما
Sadqah e fitr me har qism ka galla (anaaj) aur qeemat dena jaiz hai,
Uski tafsil yeh hai
Agar gehun ya uska aataa de to har aadmi ka pone do kilo (1 kilo 750 gram) dena chahiye,
Agar gehun ke alawa aur koi galla (anaaj) maslan chaval, baajra, javaar, wagerah de to pone do kilo gehun ki qeemat ya saade teen kilo (3 kilo 500 gram) jaw (barley) ki qeemat me jitna wo galla aataa ho itna galla dena chahiye,
Aur agar qeemat de to pone do kilo gehu ya saade teen kilo jav ki keemat deni chahiye,
➡(Aaj ke hisaab se 50 rupiye adaa karne honge)
Sab se behtar fitra yeh hai ke, aaj kal chhuarah (kharek) ya kismis (sukhi darakh) ki keemat aur wazan ka nisaab ziyadah hai, lihaza saade teen kilo kharek ya darakh ki keemat behtar hai,
Hadis me hai ke
*ALLAH TUMHE ZIYADAH DE TO TUM BHI ZIYADAH DO.*
✳COMMON FITRA
GEHUN KI QEEMAT RS 50 [year 2018]
✳ GOOD FITRA
SADE TIN KILO JAW (BARLEY) YA USKI QEEMAT RS.140 (2018)
✳BETTER FITRA
SADE TIN KILO KHAJOOR YA US KI QEEMAT RS 700 [year 2018]
✳BEST FITRA
SADE TIN KILO KISHMISH YA US KI QEEMAT RS 1050 [year 2018]
*NOT:* YE BHAW SURAT AUR US KE ATRAAF KA HAI
📗Masaile roza 416, ba hawala
📘ilmul fiqah 4/53
✏Mufti Imran Ismail Memon
🕌Ustaad e daarul uloom Rampura surat, Gujarat, India
📲💻
http://www.aajkasawal.page.tl
Subscribe Our Channel
Www.youtube.com/IslamicGroup
Download Our Application
https://play.google.com/store/apps/details?id=com.islamic.group.kwsjhpvbkgbtlumfelua
No comments:
Post a Comment