*AETIKAF KA WAQT*
🔴AAJ KA SAWAL NO.1376🔴
Sunnat iatikaf ka waqt kiya hai masnoon iatikaf kitno dino ka karna zarooree hai?
is sal kab se kab tak bethna hai?
🔵JAWAB🔵
Ramzan mubarak ke ashrah e akheerah yani Aakhri das [10] rozon ka iatikaf sunnat hai.
(Huzoor SALALLAHU ALAIHI WASALLAM ne madine me aakar kabhi bhi nahi chhoda)
Is ki shurooaat urdu 20 bis tareekh-roze ki guroobe aftaf ke waqt se hoti hai
(is sal 1439 hijri or 2018 me 5 Jun mangal ke din guroobe aftab set pehle muatkif ko bethna zarooree hai)
aur eid ka chand deekhte hi iatikaf khatm ho jata hai.
chand chahe 29 untees ka ho ya 30 tees ka ho dono suraton me sunnat ada ho jati hai
📗[BAHISHTEE ZEWAR HISSA 11 SAFA 107 SE MAKHOOZ]
✏MUFTI IMRAN ISMAIL MEMON SURAT GUJRAT INDIA
Www.aajkasawal.page.tl
Subscribe Our Channel
Www.youtube.com/IslamicGroup
Download Our Application
https://play.google.com/store/apps/details?id=com.islamic.group.kwsjhpvbkgbtlumfelua
No comments:
Post a Comment