Friday, June 22, 2018

AURAT KI AWAZ SUNNA

*AURAT KI AWAZ SUNNA*

⭕AAJ KA SAWAL NO.1393⭕

A. Mardon ke liye Aurton ki awaz me khabren (news) audio me sunna kaisa hai?

B. Aurat agar burqa odh kar mardon ke samne taqreer kare to kaisa hai?

C. .
Aisi aurat ki taqreer sunna kaisa hai?

🔵JAWAB🔵

حامدا و مصلیا و مسلما

A.
Aurat ki aawaz rajeh qaul ke mutabiq satar hai mardon ka bila sakht zaroorat ke aurton ki aawaz sunna jaiz nahin. *khabren sunanewali aurat narm aur pur kashish labo lahje me bolti hai jo mardon ke dil ko uski taraf mail karne wali aur shahwat ko ubharnewali hoti hai.*

Khabren sunne ke liye mardon ki aawaz ke audio, redio aur akhbar mavjood hain, lihaza aurton ki aawaz audio me sunne ki koi zarurat (majboori) nahin hai lihaza aurat ki aawaz wala audio sunna jaiz nahin.

B. Aurton ka mardon ke saath masjid me jaa kar namaz padhna bhi hadees me manaa hai chahe burqa odh kar jaaye ya bila burqa odhe kyun ke is me bahut se fasaadat aur fitne hain,

Lihaza aurton ka mardon ke majme me jaa kar taqreer karna bhi (bila sakht zarurat) ke manaa hai.

C.
Mardon ka aise majme me shareek hona aur taqreer sunna shar'an durust nahin.

📕RADDUL MUHTAR 1/406 SAEED

📗FATAWA MAHMOODIYAH DABHEL 19/193 SE 197 SE MAKHOOZ

و الله اعلم بالصواب

✏Mufti Imran Ismail Memon hanfi

🕌Ustaad e daarul uloom
Rampura surat, Gujarat, India

📲💻www. aajkasawal.Page.tl

Download Our Application
https://play.google.com/store/apps/details?id=com.islamic.group.kwsjhpvbkgbtlumfelua

No comments:

Post a Comment

AETIKAF KE MAKRUHAAT

*AETIKAF KE MAKRUHAAT* ⭕AAJ KA SAWAL NO.2101⭕ Aetikaaf kin cheezon se makrooh hota hai?  🔵JAWAB🔵 Aetikaf niche dee hui baton se makrooh ho...