Tuesday, June 12, 2018

Sadqatul Fitr Kyun

*Sadqatul Fitr Kyun

⭕AAJ KA SAWAL NO.1385⭕

Maaldaar par Sadaqa e fitr kyun wajib hai.

🔵JAWAB🔵

حامد و مصلیا و مسلما
                 
★ Hazrat Abdullah bin Abbas Raziyallahu Anhu se rivayat hai ke Rasulullah Sallallahu Alaihi wasallsam ne Rozo ko fizool v la’ayani aur Fahash baato ke asaraat se paak saaf karne ke liye aur miskino mohtaajo ke khane ka bandobast karne ke liye Sadqatul Fitr waajib qaraar diya hai,

📕  Sunan Abi Daoud,

★ Faayda: –
is hadees me sadqa e  fitr ki 2 hikmate aur uske 2 khaas faydo ki taraf ishara farmaya gaya hai,

Ek yeh ke musalmano ke jashn va masarrat ke is din me sadqa e fitr ke zariyah mohtaajo miskino ki bhi shikam seri aur asoodgi ka intezam ho jayega,

Aur dusre yeh ke zubaan ki be-ahatyatiyo aur be-baakiyo se Roze per Jo bure asraat padte honge yeh sadqa e fitr unka bhi kaffarah aur fidyah ho jayega,

★ Hazrat Abdullah bin Umar Raziyallahu Anhu se rivayat hai ke Rasulullah Sallallahu Alayhi Wasallam ne musalmano me se har gulaam azaad per, har mard aur Aurat per chhote aur bade per sadqa e fitr laazim kiya hai,

Ek saa’a khajoor ya ek Saa'a Jav (barley) aur hukm diya hai ke yeh sadqa e fitr Namaz e Eid ke liye Jaane se pehle adaa kar diya jaye,
     
📗 Sahih Bukhari v Muslim, 

(Next in part-2 Insha'Allah ta’ala)

📘Fiqhul ibadaat, 301

✅TASDEEQ Mufti Imran Ismail Memon

🕌 Ustaze Darul Uloom Rampura,Surat Gujarat India

Roman Urdu me masail dekhne ke liye zarur dekhiye
💻📲http//www.aajkasawal.page.tl

Subscribe Our Channel
Www.youtube.com/IslamicGroup

Download Our Application
https://play.google.com/store/apps/details?id=com.islamic.group.kwsjhpvbkgbtlumfelua

No comments:

Post a Comment

AETIKAF KE MAKRUHAAT

*AETIKAF KE MAKRUHAAT* ⭕AAJ KA SAWAL NO.2101⭕ Aetikaaf kin cheezon se makrooh hota hai?  🔵JAWAB🔵 Aetikaf niche dee hui baton se makrooh ho...