Sunday, June 24, 2018

MUHABBAT KA ISLAMI TARIQAH

*MUHABBAT KA ISLAMI TARIQAH*

⭕ AAJ KA SAWAL NO.1395⭕

Kya islam me ladka ladki ke darmiyan muhabbat ki koi gunjaish hai?

Islami qanon ki pabandi karte huve aur pardah ka lihaz karte huve kya muhabbat ki kuchh ijazat hai ya nahin ?

Is baare me wazahat farma dijiye

🔵JAWAB🔵

حامدا و مصلیا و مسلما

Muhabbat shafkkat aur azmat ke saath kisi ki jaanib dili mailan ka naam hai jo gair ikhtiyari cheez hai.
Jabke gair mahram ladki ke saath talluqaat qayim karna aur uske saath baat karna, sms karna, be takallufi ikhtiyar muhabbat nahin balke nafsaniyat aur shahwat parasti hai jo shar'an na-jaiz aur haraam hai aur is se bachna bhi laazim hai.

(Filmon me muhabbat ko ek paak aur achchhi cheez dikhayi jaati hai jo bilkul galat hai is se dhoka nahin khana chahiye jo cheez shariat me gunah ho kisi ke batlane ya kehne se hargeez achchhi nahin ho sakti)

📑FATAWA BINORIA.SERIAL NO. 11336

✏MUFTI HAMID UMAR DARAZ KARANCHI

و الله اعلم بالصواب

✒TASDEEQ,TASHEEL WA IZAFA

Mufti Imran Ismail Memon hanafi chisti.

🕌 Ustaad e daarul uloom Rampura surat, Gujarat, India.

📲💻
http://www.aajkasawal.page.tl

http://www.aajkasawalgujarati.page.tl

http://www.aajkasawalhindi.page.tl

Telegram channel :
Https://t.me/AajKaSawalJawab

No comments:

Post a Comment

AETIKAF KE MAKRUHAAT

*AETIKAF KE MAKRUHAAT* ⭕AAJ KA SAWAL NO.2101⭕ Aetikaaf kin cheezon se makrooh hota hai?  🔵JAWAB🔵 Aetikaf niche dee hui baton se makrooh ho...