🇮🇳VANDE MAATARAM KEHNE KA HUKM
⭕AAJ KA SAWAL NO.907⭕
Vande maataram kehna kesa hai? Agar na jaiz hai to us ki kiya wajha? Kiya musalmanon ko apne watan se muhabbat nahi hai?
🔵JAWAB🔵
Apne watan se Mohabbat ek fitri chiz he,insan jaha rehta palta he,waha k zarre zarre se use muhabbat or lagav ho jata he,or ye bura bhi nahi he,Lekin ye Mohabbat agar Jaaiz Akhlaqi or shariat ki had me ho to Islam use pasand ki nigah se dekhta he,basharte k ye mohabbat Shariat or khudai Ahkam k khilaf na ho,or usse shariat k Ahkam na tutte ho,isi liye Musalman jis mulk me gaye wahi ke ho kar reh gaye,unho ne tut kar us mulk se mohabbat ki,hindu or aaryo ne is mulk me hazaro saal hukumat ki or musalmano ne sirf 650 saal,lekin mulk me bane huwe mazbut qille,Taj Mahal or dusre Khubsurat Maqbare,Aalishan masajid,haseen or khubsurat Baagiche,umda sadake,or buland minare kiski den he??
Hindustan ko musalmano ne wo tarikhi yadgar dee jo aaj Hindustan ki pehchan he,or unhi se Mulk ki tahzibi or cultural Pehchan or simbol he,Or jab gasib Angrez yaha aaye to sabse pehle Musalman unse takra gaye,or jange aazadi me Bharpur hissa liya,Ye musalmano ki sacchi Watan se mohabbat thi k hindustan ko tahzib or tamaddun ka Gehwara bana diya.
LEKIN MUSALMAN K LIYE YE BAAT MUMKIN NAHI K WO KISI CHIZ KO ALLAH OR USKE RASUL SE ZYADA CHAHE OR USSE MOHABBAT KARE YA USKA WO EHTERAM KIYA JAYE JO KHUDA KE LIYE MAKHSOOS HE,QK PARASTISH OR BANDAGI KE LAYAK SIRF OR SIRF ALLAH PAK KI ZAAT HE,KHUDA KE SIWA KISI KI IBADAT JAIZ NAHI,NA FARISHTO KI NA RASULO NA KISI WALI KI OR NA HI KISI AUR CHIZ KI. AUR INSAN SIRF ALLAH KA BANDA HE,KISI DARYA PAHAD,SURAJ SITARE OR KISI MAKHLUQ KA NAHI,ISI LIYE WATAN SE WO MOHABBAT JISSE BANDAGI LAZIM AAYE KISI HAAL ME JAIZ NAHI,YAHI HAMARA IMAN OR AQEEDA HE K ALLAH K SIWA KISI KI BANDAGI KARNA KISI HAAL ME JAIZ NAHI,OR WATAN KO MA'BUD KA DARJA DIYA JAYE TO YE ALLAH K SATH SHIRK HE OR SHIRK TO KISI HAAL ME MAAF NAHI,ISI BACK GROUND ME IS GEET KO DEKHNA CHAHYE JO WANDE MATRAM K NAME SE MASH'HUR HE.
Ye Geet(Vande mataram) Bankim chandra Chetarji ne likha he,or tarikh shahid he k *ye angrezo ki khushamad me kaha gaya he,isi liye Mulk k bade Leaders Pandit Jawahar lal nehru,Subhash chandra bose,dr.Lohiya wagera* ne b is Nizaee(ladai peda karne wale) tarane ko Napasand kiya he*or nazam k bare me Musalmano k ikhtilaf ko sahih or hakikat pr mabne hone ka ikrar kiya he
. IS GEET KI IBTIDA IS MISRA'A (BAND) SE HOTI HE.:
"MAI TERA BANDA HU AEY MERI MAA(ZAMEEN)"
PHIR AAGE YUN HE...
"TU HI MERA ALAM HE,TU HI MERA DHARAM HE'"...
PHIR NAZAM KI END ME IS TARAH HE:
"MAI GULAM HU,GULAM KA GULAM HU,
GULAM K GULAM KA GULAM HU,
ACCHE PANI,ACCHE PHALO WALI MAA!,MAI TERA BANDA HU.."
ISI NAZAM ME EK JAGAH HINDUSTAN KO DURGA MATA KA DARJA DE KAR KAHA GAYA HE:
"TU HI HE DURGA,DAS HATHYAR BAND HATHO WALI"
YE HE WO NAZAM JISME SHAYAR NE WATAN KO MAHBUB SE BARHA KR MA'ABUD KA DARJA DIYA HE,AB MUSALMANO SE ISKA MUTALABA KARNA K IS NUKTA E NAZAR KO QUBUL KAR LE,OR APNE ZAMEER KO BECH KR OR APNE AQEEDE KO TOD KAR DUSRO KI RAWA RAWI ME YE SHIRKIYA TARANA PARHE, MAZHABI TASHADDUD OR JABR K SIWA KIYA HE??
YE TO AQEEDE KI BAAT HUWI,SIKKE KA EK OR RUKH BHI HE,WO YE K VANDE MATRAM ASAL ME BANGALI NOVEL "AANAND MUTH" KA HISSA HE,JISME HINDUO KO MUSALMANO KE KHILAF BHADKAYA OR UKSAYA GAYA HE,NAFRAT K SHOLE BHADKANE KI KOSHISH KI GAYI HE,OR ANGREZO KA WELCOME KIYA GAYA HE,KIYA KOI SACHA WATAN SE MOHABBAT RAKHNE WALA JISKA DIL SAHIH MAYNO ME
"DIL HE HINDUSTANI" KI TASVIR HO,AISE ANGREZO K PITTHU OR NAFRAT PHELANE WALE ASH'AAR KO PASAND KAR SAKTA HE? USKO ACCHA SAMAJH SAKTA HE??
NEVER FOR EVER.
LIHAZA HAZARO MIRA KUMARI OR DIGAR BIN SECYULAR LOG NARAZ HOTE RAHE,HUM IMAN WALE AISE LAGW,BEKAR OR AQEEDA OR IMAN K KHILAF TARANE KO KABHI QUBUL NAHI KAR SAKTE,BALKE MAI TO KAHUGA SACCHE WATAN PARAST OR SECULER LOG KABHI IS TARANE KO NAHI GAYEGE,ISILIYE JAWAHAR LAL NEHRU,SUBHASH CH.BOSH OR DR.LOHYA JAISE KAI BADE GER MUSLIM LOG B ISKO NHI MANTE THE.
(MA'KHUZ AZ RAHE AMAL)
by fatawa section
Share:
✏MUFTI SIRAJ SIDAT CHIKHLI WALSAD
📲Roman urdu me masail ke liye zaroor dekhe www.aajkasawal.page.tl
No comments:
Post a Comment