Sunday, August 6, 2017

RAAKHI BECHNA QURBANI KI FAZEELAT

*RAAKHI BECHNA*
*QURBANI KI FAZEELAT*

⭕AAJ KA SAWAL NO.1095⭕
A.
Rakhi bechna kaisa hai?

B. Qurbani karne ki kya fazeelat hai?

🔵JAWAB🔵

حامدا و مصلیا و مسلما

A. Raakhi bechna goya kaafiron ki mazhabi rasm me ta'awun-
(madad) karna hai is se bachna hi chahiye.

📗 FATAWA RAHEEMIYAH 9/206

B.
Hazrat Aishah رضی اللہ عنھا se riwayat hai ke Huzur صلہ اللہ علیہ وسلم ne irshad farmaya ke:-

Zil hijjah ki 10 tarikh ya'ani eidul azha ke din insan ka koi amal Allah ta'ala ko qurbani se ziyadah mahbub nahin hai aur qurbani ka janwar qiyamat ke din apne singo aur baalo our khurro ke saath zindah ho kar aayega aur qurbani ka khun zamin per girne se pehle Allah ta'ala ki razaa aur maqbuliyat ke maqaam per puhonch jaata hai, pas ae khuda ke bando dil ki poori khushi se qurbaniyan kiya karo.

Dusri riwayat me hai ke qurbani ke janwar ke har baal ke badle me ek neki milegi sahaabah radiyAllahu anhum ne arz kiya ya rasoolallah uun ki bhi yahi fazilat hai.(uun barik hone ki wajah se bahut hota hai) Huzoor ﷺ ne farmaya:-
Haan har unn ke baal ke badle me bhi ek neki hai.(mafhume hadis)

Janwar ke badan par hazaaron aur laakhon baal hote hain. Deendari ki baat yeh hai ke itne bade sawab ki laalach me jis par qurbani wajib nahin hai us ko bhi kar deni chahiye yeh din chale jayenge to itna badaa sawab kaise hasil hoga?

📕Tirmizi sharif wa ibne maajah bahawala 📗masaaile qurbani 32 bifarqi yasir

و الله اعلم بالصواب

✏Mufti Imran Ismail Memon

🕌Ustaad e daarul uloom Rampura surat, Gujarat, India

📲💻 http//www.aajkasawal.Page.tl

*Subscribe Our Youtube Channel*
Www.youtube.com/BayanatPost

*Download Our Android App*
https://play.google.com/store/apps/details?id=com.islam.group

No comments:

Post a Comment

AETIKAF KE MAKRUHAAT

*AETIKAF KE MAKRUHAAT* ⭕AAJ KA SAWAL NO.2101⭕ Aetikaaf kin cheezon se makrooh hota hai?  🔵JAWAB🔵 Aetikaf niche dee hui baton se makrooh ho...