🐏 *KIN JANWARON KI QURBANI JAIZ*🐃
⭕AAJ KA SAWAL NO.1107⭕
Janwaron ki aisi khamiyan (aib) kya hain jinke hone ke bawajood qurbani JAIZ hai?
♻AL JAWAB ♻
★ In janwaron ki Qurbani jaiz hai
1⃣. Jiska sing tut gaya ho lekin jad-mukh se na tuta ho.
2⃣. Aisa khassi ya budha janwar jo jima'a-sohbat na kar sakta ho.
3⃣. Aisi maada jo budhape ki wajah se bachcha na de sakti ho.
4⃣. Bachche wali maada
5⃣. Aisi maada jiske aanchal ka dudh koi bimari ya aib ke bagair khushk (sukha) ho gaya ho. (agar bimari ki wajah se khushk ho gaya ho to qurbani jaiz nahin).
6⃣. Khaansi ki bimari wala janwar.
7⃣. Daam diya huwa janwar
8⃣. Aisa kaanaa jiska kaanaPan bilkul zahir na ho.
9⃣. Aisa langda jo chal sakta ho, ya'ani pair zamin par tekta aur chalne me pair ka sahara leta ho.
🔟. Aisa bimar jiski bimari zahir na ho.
1⃣1⃣. Aisa janwar jiska uzw (body part) 1/3 (33%) ya usse kam cut gaya ho.
1⃣2⃣. Jiske Daant na ho lekin Ghas-Chaara kha sakta ho, Basharte ke yaqeeni taur par uski qurbani ki umr (age) poori ho.
Note:- Baker ke Daant (teeth) sawa 1.25 saal ko aate hain.
1⃣3⃣. Aisa paagal janwar jo Ghas - Chaara kha sakta ho.
1⃣4⃣. Aisi khujli wala janwar jo Motaa-Tagdaa ho.
1⃣5⃣. Aisa janwar jiska Kaan chiraa gaya ho ya'ani lambai me chahe poora fat gaya ho ya chodai (width) me 1/3 se kam cut gaya ho.
1⃣6⃣. Dono kaan thode thode kate ho lekin dono ka total kiya jaye to 1/3 se kam ho.
1⃣7⃣. Rasoli (masse, gaanth) wala janwar.
📗Fatawa raheemiyah 3 / 382 qurbani ke masail m.rafat qasmi ki
👆👆👆
Upar zikr kiye gaye janwaron ki qurbani jaiz to hai lekin MAKRUHE TANZIHEE hai. (Behtar aur munasib Nahin),
MUSTAHAB yeh hai ke qurbani ka janwar har qism ke aibon se paak ho.
📗Khulastul Fatawa 4/320
✏IMRAN ISMAIL MEMON HANFI GUFIRA LAHOO
MUDARRISE DARUL ULOOM, RAMPURA, SURAT, GUJRAT, INDIA.
💻Roman urdu me masail ke liye zaroor dekhe👇
www.aajkasawal.page.tl
*Subscribe Our Youtube Channel*
http://Www.youtube.com/BayanatPost
*Download Our Android App*
https://play.google.com/store/apps/details?id=com.islam.group
No comments:
Post a Comment