*Ek qurbani kai logon ke isaale sawab ke liye*
⭕AAJ KA SAWAL NO.1100 ⭕
Chand marhum ke isaale sawab ke liye qurbani karni ho to har marhoom ka alag alag hissah rakhna zaruri hai ya ek hissah chand marhoom ke sawab ke liye kafi hai?
🔵JAWAB🔵
Har ek ke liye juda juda hissah rakhna zaruri hai. Ek hissah ek se zaid marhoom ke liye kaafi nahin. Albattah apni taraf se nafal qurbani kar ke uska sawab ek se ziyadah murdon aur zindon ko bakhashna durust hai jaise ke Huzoor ﷺ ne ek qurbani ka sawab poori ummat ko bakhsha tha.
Agar gunjaish ho Allah ne maal diya ho to apne marhum rishtedar, buzrugon ke liye zarur qurbani karen. In dino me dusre nek a'amal ke muqabalah me sabse ziyadah qurbani hee ka sawab hai. Isse murdon ko badaa faidah hota hai.
📗Fatawa rahemiyyah darul ishaat 10/25
Aur
📕Kitabun nawazil 14/528 se makhooz
http://aajkasawal.Page.tl
*Subscribe Our Youtube Channel*
http://Www.youtube.com/BayanatPost
*Download Our Android App*
https://play.google.com/store/apps/details?id=com.islam.group
No comments:
Post a Comment