Saturday, August 26, 2017

Qurbani Ki Khaal Ke Bare Me Huqm

Qurbani Ki Khaal Ke Bare Me Huqm

⭕Aaj ka Sawal-No-02⭕

(1) Qurbani ki khal apne kaam me laa sakte hen, khud rakh sakte hen, ??

(2)Qurbani ke janwar ki khal masjid, madrase me de sakte hen.. ?

(3)Imam sb our muazzin sb ko khal de sakte hen.. ?

(1)Jawab..- G haa, Qurbani ki khal apne istemal me la sakte hen,Agar bechden to phir is ki qimat garib ko dena lazim hoti he..

(Kitabul masail 2/250)M ibrahim alyanimas'ala

(2)Jawab..- Janwar ki khal jab tak beche nahi tab tak wo gosht ki tarah he our usi ke hukm he, yani aap jis taragmh gosht kisi ko bhi de sakte hen usi tarah khal bhi de sakte hen... (phir jis ko khal dedi wo chahe to bech sakta he) Albatta agar paiso se bechden to phir wo zakat ki tarah hojati he.. yani ab us ko garib mustahiq logo ko malik bana kar dena zaruri he.. Masjid me khal nahi de sakte q ke us me koi malik nahi banraha he,Our madrase me dena jaaiz balke afzal he, qke wo khal bechkar us ke paise madrase me padhne wale bacho per kharch kiye jate hen (jis ka sawab aap ko bhi milega) Isi tarah dusri koi tanzim, jamaat ko dene ka yahi huk he ke agar wo bech kar garibo ko paise malki bana kar detehen to un ko de sakte he. Warna nahi..

(Mustafad az, aap ke masail our un ka hal 5/466)

(3)Jawab..- Imam, muazzin, wagera hazraat ko un ki tankhah me khal nahi de sakte, Un ki tankhah our ujrat alag se he aese hi khushi se de rahe hen to de sakte hen.. (our wo hazraat bechke us ke paise istemal karsakte hen)

(Mustafaz az aap ke masail our un ka hal 5/466)

Subscribe Our Youtube Channel
Www.youtube.com/BayanatPost

Download Our Android App
https://play.google.com/store/apps/details?id=com.islam.group

No comments:

Post a Comment

AETIKAF KE MAKRUHAAT

*AETIKAF KE MAKRUHAAT* ⭕AAJ KA SAWAL NO.2101⭕ Aetikaaf kin cheezon se makrooh hota hai?  🔵JAWAB🔵 Aetikaf niche dee hui baton se makrooh ho...