Tuesday, August 8, 2017

QURBANI KIS PAR WAJIB

*QURBANI KIS PAR WAJIB*

⭕AAJ KA SAWAL NO.1097⭕

Qurbani kis par wajib hai poori tafseel bataiye?

🔵JAWAB🔵

حامدا و مصلیا و مسلما

Har woh shakhs jo aaqail,baalig, muqeem ho aur uske paas qurbani ke dino me ya'ani 10 zil hijjah se 12 vi zilhijjah ke gurub e aaftab tak 52.50gm. saadi bawan tola chandi ki qeemat [Aaj 16 zee qadah 1438 hijri ko india me nisab 23000 Rs.] Ka zarurat se zaaid (extra) maal saamaan Qarz ki adaygi ke baad mavjood ho to us par qurbani wajib hai.

*NOTE: -*
1.Qurbani ke nisab par saal guzarna zaruri nahin.

2.Qurbani wajib karne ke nisab me 3 jodi se zaaid kapdon ko, do Jodi se zaaid jute chappal ko, showcase aur uske zeenat ke tamaam saamaan ko,Tv, extra plot, flats wagairah jo bechne ki aur isteamal ki cheezen nahin un ki qeemat bhi shumar ki jayegi.

📗KITABUL MASAIL 2/300 SE MAKHOOZ

و الله اعلم بالصواب

✏Mufti Imran Ismail Memon

🕌Ustaad e daarul uloom Rampura surat, Gujarat, India

📲💻 www.aajkasawal.Page.tl

*Subscribe Our Youtube Channel*
http://Www.youtube.com/BayanatPost

*Download Our Android App*
https://play.google.com/store/apps/details?id=com.islam.group

No comments:

Post a Comment

AETIKAF KE MAKRUHAAT

*AETIKAF KE MAKRUHAAT* ⭕AAJ KA SAWAL NO.2101⭕ Aetikaaf kin cheezon se makrooh hota hai?  🔵JAWAB🔵 Aetikaf niche dee hui baton se makrooh ho...