Wednesday, August 9, 2017

QURBANI KIS PAR WAJIB NAHI

*QURBANI KIS PAR WAJIB NAHI*

⭕AAJ KA SAWAL NO.1098⭕

Qurbani kis par wajib nahi
🔵JAWAB🔵

حامدا و مصلیا و مسلما

Qurbani ke din 10 zil hijjah ki subah sadiq se lekar 12 vi zil hijjah ki gurube aaftab tak ke waqt me jo Kafir,pagal, na balig, musafire sharee {apne ganv-shahar ki border se 77.25 K.M.door safar me ho aur ek shahar ya ganv me 15 din se kam thehrne ki niyyat ho woh musfir hai} aur gareeb yani jis ki milkiyat me sadi bawan tola chandi jis ki aaj 17,11,1438tareekh ko 23000 rs. Ki qeemat Hai itni qeemat ke naqad rupiye, sona, chandi,bechne ka mal, na bechne ke mal, istimal me na aati ho ya sharee zaroorat se zaid ho aesi cheezen masalan tv. Showcase aur us ke bartan, 3 Jodi se zaid kapde in me se tamam ya baz cheezon ko milakar qarza ho to woh ada kar ke itne pese na bachte ho to us par qurbani wajib nahi agarche woh bangle me rehta ho us ke pas is istiamal ki for waheel, 2 waheel gadi ho aur behtreen mobile Wagairah istiamal ki cheezen ho.

Lekin fir bhi qurbani kare to bada sawab hai qurbani ke dino Me is se badh kar koi neki nahi.

📕KITABUS MASAIL 2/300 se MUSTAFAD

و الله اعلم بالصواب
✏Mufti Imran Ismail Memon

🕌Ustaad e daarul uloom Rampura surat, Gujarat, India

📲💻www. aajkasawal.Page.tl

*Subscribe Our Youtube Channel*
http://Www.youtube.com/BayanatPost

*Download Our Android App*
https://play.google.com/store/apps/details?id=com.islam.group

No comments:

Post a Comment

AETIKAF KE MAKRUHAAT

*AETIKAF KE MAKRUHAAT* ⭕AAJ KA SAWAL NO.2101⭕ Aetikaaf kin cheezon se makrooh hota hai?  🔵JAWAB🔵 Aetikaf niche dee hui baton se makrooh ho...