*SOOD (interest) KAHAAN KHARCH KARE*
⭕AAJ KA SAWAL NO.1093⭕
Sood (interest) ka paisa kahaan kahaan kharch kar sakte hain?
🔵JAWAB🔵
حامدا و مصلیا و مسلما
Sood ka asal hukm to yeh hai ke jis shakhs ke paas se liya ho usi ko wapas lauta do
Bank ka sood kis shakhs ka hai yeh maloom nahin hota isliye kisi bhi gareeb ko sawab ki niyyat kiye bagair us ka wabaal door karne ki niyyat se de dena chahiye.
Agar Sood sarkari bank ka hai to sarkari texes GST, income tex,stemp duty,Vera bill (sirf property tax) me aanewale sirf milkat vere me wagairah gair wajbi texes me, sarkari aur bank penalty-jurmane me de sakte hain.
*Sarkari khaaton aur texes me priwate bank ka sood nahin de sakte hain.*
*NOTE*: in sab raston me kharch karne ke liye khaas taur par sood hi lene ke niyyat se paisa bank me rakhna ya sood par dena haraam hai yeh to sarkari majboori ki wajah se bank me paise rakhne padte hain aur na chahte huve bhi sood aa gayaa to is na-paaki ko nikalne ke raste hain iska yeh matlab koi hargiz nahin ke koi na- paaki hi ka production (paida karna) shurooa Kar de.
📕FATAWA QASMIYAH 20 /320 SE MUSTAFAD
و الله اعلم بالصواب
📗AHSANUL FATAWA 7/16 AUR
📘FATAWA MAHMOODIYAH 16/ 381
📙KATABUL MASAIL 11/227,268,295 SE MUSTAFAD
✏Mufti Imran Ismail Memon
🕌Ustaad e daarul uloom Rampura surat, Gujarat, India
📲💻www. aajkasawal.Page.tl
*Subscribe Our Youtube Channel*
Www.youtube.com/BayanatPost
*Download Our Android App*
https://play.google.com/store/apps/details?id=com.islam.group
No comments:
Post a Comment