*SOOD KA PAISA BANK ME CHHOD DENA*
⭕AAJ KA SAWAL NO.1092⭕
Sood ka paisa banks me chhod dena chahiye ya uthha lena chahiye. Utha lene me gunah hoga ya nahin ?
🔵JAWAB🔵
حامدا و مصلیا و مسلما
Sood ka paisa bank se uthha lena wajib hai.chhod dena gunah hai. woh paise aap ke khaate (account) me aa chuke hain aur aap us ke maalik ban chuke hain aap ke khaate Me se koi le nahin sakta.
Sood ke paison ka hukm raaste me giri padi cheez milne jaisa hai use is niyyat se uthana ke malik tak pahonchaunga sawab hai aur khud malik ban jaane ki niyyat se uthhan haraam hai.
Lihaza sood aam taur par gareebon se hi wasool kiya jaata hai isliye us ko wapas garibon ko dene ke liye sadqah karne ki niyyat se lene Me koi gunah nahin hoga.
📗AHSANUL FATAWA 7/16 SE MAKHOOZ
✏Mufti Imran Ismail Memon
🕌Ustaad e daarul uloom Rampura surat, Gujarat, India
📲💻www. aajkasawal.Page.tl
Subscribe Our Youtube Channel
Www.youtube.com/BayanatPost
No comments:
Post a Comment