*Baap ka apne gharwalon ki taraf se qurbani karna*
⭕Aaj ka sawal no.1109⭕
Baap apne bachchon aur ghar walon ki taraf se har saal qurbani karta hai, to gharwalon ki ya bachchon ki ijazat lena zaruri hai ?
🔵Jawab🔵
Agar baap ka ma'amul hai ke wo har saal apne biwi bachchon ki taraf se qurbani karta hai, to sab ki taraf se qurbani durust hai, ghar walon ne ijazat di ho yaa na di ho.
Haan agar har saal bachchon ki taraf se qurbani karne ka mamool nahi hai balke kabhi kabhi badey bachche apni qurbani khud bhi kar lete hai to un ki ijazat lena zarooree hai, warna qurbani saheeh nahi hogi.
📗Kitabul masail 227 se ma
*RUJOOA NOT*: SAWAL NO. 1106 ME AHSANUL FATAWA KE HAWALE SE LIKHA THA KE SAT HISSON ME SE KISI KI KAMAI HARAAM KI HO TO KISI KI BHI QURBANI SAHEEH NAHI HOGI.
MUFTI SALMAN MANSOORPURI AUR DZSRE MUFTIYANE KIRAAM KE KEHNA HAI KE SAB KI QURBANI IS SURAT ME BHI SAHEEH HO JAYEGI AUR IN KI DALEEL BHI MAZBOOT HAI.
📕 KITABUL NAWAZIL 22/ 334 SE 336 SE MAKHOOZ
و الله اعلم بالصواب
✏Mufti Imran Ismail Me; mon
🕌Ustaad e daarul uloom
Rampura surat, Gujarat, India
📲💻www. aajkasawal.Page.tl
Subscribe Our Youtube Channel
Www.youtube.com/BayanatPost
Download Our Android App
https://play.google.com/store/apps/details?id=com.islam.group
No comments:
Post a Comment