🇮🇳 *Jhande ko salaami dena*🇮🇳
🔴AAJ KA SAWAL NO. 1102🔴
15TH AUGUST AUR 26TH JAN. KO JHANDAA (FLAG) BALAND KIYA JAATA HAI IS MAUQE PAR SHIRKAT KARNEWALE BHI HAATH UTHAAKR USKO SALAAMI PAISH KARTE HAIN AUR JHANDE KE AAGE JHUKTE HAIN USKA SHARAEE HUKM KYA HAI?
🅾JAWAB🅾 🇮🇳🇮🇳🇮🇳🇮🇳🇮🇳🇮🇳🇮🇳🇮🇳🇮🇳
JHANDAA LEHRANA AUR SALAMI DENA DURUST HAI, EK SIYASI AUR FAUJEE AMAL HAI, AUR AHLE ILM NE USKO JAAIZ QARAAR DIYA HAI, ALBATTA US MAUQE SE AISA KOI AMAL KARNA JIS SE JHANDE KI GAIR MA'AMULI [EXTRA ORDINARY] TA'AZIM [RESPECT] ZAAHIR HOTI HO JAISE DONO HAATH JODNA YA JHUKNAA JAAIZ NAHIN HAI, ISLAMI POINT OF VIEW SE KISI BHI MAKHLUQ KE SAATH IS TARAH KI TA'AZIM KA SULOOK SAHEEH NAHIN HAI. 🇮🇳🇮🇳🇮🇳🇮🇳🇮🇳🇮🇳🇮🇳🇮🇳🇮🇳
HAZRAT MUFTI KIFAYATULLAH SAHAB RAHMATULLAHI ALAYHI FARMATE HAIN *"JHANDE KO SALAAMEE DE SAKTE HAIN, ISLAMI HUKOOMATON ME BHI HOTA HAI,* US ME TAAZEEM KA SHUBAH HO TO US ME ISLAAH HO SAKTI HAI. (IS TARAH KE SAR BULAND KAR KE SEENAH TAAN KAR SALAMI DEE JAYE) LIHAZA IS KO MUTLAQAN-BILKUL MUSHRIKANAH AMAL QARAAR DENA SAHEEH NAHIN.
📚KITABUL FATAWA 1/281FATAWA RAHEEMIYAH.KARANCHI 10/180
✏imran ismail memon surat
http://aajkasawal.Page.tl
*Subscribe Our Youtube Channel*
http://Www.youtube.com/BayanatPost
*Download Our Android App*
https://play.google.com/store/apps/details?id=com.islam.group
No comments:
Post a Comment