*HAAJI KITNI QURBANI KARE ?*
⭕AAJ KA SAWAL NO.1104⭕
Jo log hajj me jaate hain un per baqra eid (eiduzzuha) wali maaldaari ki qurbani wajib hai ya nahin.. ??
🅾Jawab🅾
Baqra eid wali qurbani maaldaar musafir per wajib nahin hoti, balke apne ghar per ho ya kahin 15 din ya us se ziyadah thehre to qurbani wajib hogi, Agar haaji hajj ke dino ko milakar 15 din makkah me theherne wala hai to agar woh maaldaar hai to us per baqra eid wali qurbani wajib hogi, chahe wahaan kare, chahe apne ghar per karwa le.
(Hajj ki qurbani alag hai, us ka masala alag hai.)
(Jo hazraat hajj e tamattu ya qiran karte hain un per hajj ki qurbani to wajib hai hi aur agar woh maaldaar aur muqeem hai to un per baqra eid ki qurbani bhi wajib hogi)
Aur agar 15 din nahin theherna to woh musafir hoga us per baqra eid wali qurbani wajib nahin.
Note: jadeed zamane ke eatebar se aksar muftiyane kiraam ki raay ke mutabiq mina, muzdalifa ab makkah ke hudud me dakhil hain, lihaza un dino ko milakar 15 din ho jayenge to woh muqeem kehlayega aur maaldaari ki qurbani wajib hogi.
📚Kitabul masail, mahmudul fatawa, fiqhi seminar ka fesla bhi isi per he.
📝 Mufti Imran Ismail Memon
🕌 Ustaze Darul Uloom Rampura,Surat Gujarat India
💻Aaj Ka Sawal, Aaj ki Achchi Baat, Qur'an, Hadith in Hindi & Eng, Islamic Group ke Sabhi Text & Image, Deeni Masail Malumaat Karne Ke Liye Islamic Group Application download Kare..
https://play.google.com/store/apps/details?id=com.islam.group
💻📱
Roman Urdu me masail dekhne ke liye zarur dekhiye
Subscribe Our Youtube Channel
http://Www.youtube.com/BayanatPost
No comments:
Post a Comment