*SOOD KA PAISA KAHAAN NA DE*
⭕AAJ KA SAWAL NO.1094⭕
Hamare ek dost bolte hai ke sood ka paisa kharab aur bekaar hota hai lihaza is ko kharab aur bekaar kaam masalan sarkaari afsaron aur judges ko rishwat dene me, vakil (lawyer) ki fees me, baitul khalaa (toilet) banaane me aur uske maintenance me, bijli ke lambe bilo bhi me de sakte hai kya unki yeh soch sahih hai kehte haraam ka paisa haraam me dalne me kya haraj hai?
kal ke sawal me aaya tha ke sood ka paisa kahaan de sakte hain ab yeh bataiye kahaan kahaan nahin de sakte hain?
🔵JAWAB🔵
حامدا و مصلیا و مسلما
Aap ke dost ki baat sahih nahin hai sarkari afsar, judges, vakil ko sood ka paisa dene ki surat me yeh paisa sarkari khaton me nahin jaa raha hai balke in logon ki jebo (pockets) me jaata hai.
Isee tarah jin sarkari khidmaat (services) se hamne faidah uthaya hai wahaan bhi nahin de sakte hain jaise light bill, paani wera (taxes), safaai wera, ghar aur flats ka maintenance, apne ghar ka baitul khala me nahin de sakte hain
Albattah, rifahe aam (relief) kaam jis ka faidah gareeb maaldaar har ek ko pahonchta hai jaisi ke aam sadke (roads), public toilet, raaston par lagne wali paani ki parab wagairah is me muftiyane kiram ka ikhtilaf hai ba'az muftiyon ne ijazat di hai, lekin aksar manaa karte hain
*👉kyun ke soodi rakam ko sadaqah karne me maalik banaana zaruri hai 👈*
lihaza aehtiyat wala qaul yahi hai ke in kaamon me bhi sood ka paisa isteamal na kiya jaaye.
📗FATAWA QASMIYAH 20/526.
📕FATAWA MAHMOODIYAH 16/386
📘KITABUN NAWAZIL 11/356,371SE MAKHOOZ
و الله اعلم بالصواب
✏Mufti Imran Ismail Memon
🕌Ustaad e daarul uloom Rampura surat, Gujarat, India
📲💻www. aajkasawal.Page.tl
*Subscribe Our Youtube Channel*
Www.youtube.com/BayanatPost
*Download Our Android App*
https://play.google.com/store/apps/details?id=com.islam.group
No comments:
Post a Comment