*🏬ZAKAT KE PAISE SE MAKAAN DENA🏬*
⭕AAJ KA SAWAL NO.1016 ⭕
Agar zakat ki raqam se makaan leve aur woh makaan garibo ko muft rehne deve ya'ani ta'ameer me zakat ke paise iste'amal kar sakte hain..??
🔵Jawab🔵
حامدا و مصلیا و مسلما
Is tarah zakat ke paiso se zameen kharidna ya makaan tameer karna durust nahin, zakat adaa nahin hogi,
Zakat ki adaygi ke liye mustahiq ko maalik banana shart hai aur woh yahaan nahin payi jarahi hai.
📗(mustafad. az fatawa rahimiya jadeed 4,40 bahawalatahttawi)
و اللہ اعلم
📝 Mufti Imran Ismail Memon.
🕌 Ustaze Darul Uloom Rampura,Surat, Gujarat,india
📱💻http://www.aajkasawal.page.tl
https://play.google.com/store/apps/details?id=com.islam.group
No comments:
Post a Comment