Saturday, May 13, 2017

HAJ KE LIYE JAMA KI HUI RAQAM PAR ZAKAT

🛩 *HAJ KE LIYE JAMA KI HUI RAQAM PAR ZAKAT*🕋

⭕AAJ KA SAWAL NO.1010 ⭕
A.
Mene is saal haj me jane ke liye 7 lakh rupiye jam'a kiye hai aur abhi ramzan me raqam par saal pura ho raha hai to kiya us par bhi zakat wajib hai?

B. mene haj taur me is sal advance 3 lakh ruiye bhar diye hai to kiya us par bhi zakat wajib hogi?
zakat wajib hone, na hone ki wajha bhi bata do to aap ke aehsan hoga.

🔵 AAJ KA JAWAB🔵

حامدا و مصلیا و مسلما
A.
aap ke saat lakh par aap ki milkiyat aur qabze me saal pura ho gaya hai isliye zakat: us par wajib hogi agarche woh pese aap ne haj me jane ki niyyat se rakhe hai.

B.Aap ne haj taur wale se jane muaamala kar ke 3 lakh ruiye ada kar diye woh pese aap ki milkiyat me to hai lekin qabze me nahi rahe isliye us par zakat wajib nahi.zakat wajib hone ke liye milke taam yani mukammal malik hona ke raqam ka malik bhi ho aur qabza bhi ho to zakat wajib hogi.

📗KITABUL MASAIL 2/252
AUR
📙FATAWA QASMIYAH 10/304 SE MAKHOOZ
 
و اللہ اعلم
📝 Mufti Imran Ismail Memon.

🕌 Ustaze Darul Uloom Rampura,Surat, Gujarat,india

📱💻http://www.aajkasawal.page.tl

📱💻http://www.aajkasawalgujarati.page.tl

📱💻http://www.aajkasawalhindi.page.tl

https://play.google.com/store/apps/details?id=com.islam.group

No comments:

Post a Comment

AETIKAF KE MAKRUHAAT

*AETIKAF KE MAKRUHAAT* ⭕AAJ KA SAWAL NO.2101⭕ Aetikaaf kin cheezon se makrooh hota hai?  ЁЯФ╡JAWABЁЯФ╡ Aetikaf niche dee hui baton se makrooh ho...