Monday, May 22, 2017

ROZAH NA TODNEWALI CHIZEN PART 1

*ROZAH NA TODNEWALI CHIZEN PART 1*

⭕AAJ KA SAWAL NO.1019 ⭕

Woh chizen Jinse Rozah Nahin Tuttaa aur Na hi Makrooh hota hai kon konsi hain ?

🔴JAWAB🔴

1- Taazah Miswaak karna

2- Sar ya Munchho per Tel (oil) lagaana

3- Injection ya teeka lagvana,

4- Aankh me Dava daalna ya Surma lagana

5- Khushbu lagana,

6- Garmi aur Pyas ki wajah se gusl karna Agarche paani ki thandak jism ke andar mahsus ho

7- Bhool kar Khaa pee lena ya bhool kar sohbat karna

8- Halak me bilaa ikhtiyar Dhunwa ya makkhi, machhar ka chala Jana,

9- Khud ba Khud qai (vomiting) ho Jana chahe kitni hee ho

10 - Sote hue ahatlaam ho Jana

11- Daanto me khoon aaye magar halak me na jaye

12- Dakaar aana jiski wajah se khane ka mazaa halak me mahsoos hona

13. Phool ya attar ki khushbu sunghna

14. Bhiga huwa rumaal sar par lapetna

15. Bimari ki wajah se glucose, blood chadhana

16. Oxygen lena

17. Naak-rint zor se sidakna-khichna jiski wajah se halak me chali jaye

18. Raal tapakne ko ho to use munh me khinch lena.

(BAAQI KAL MSG 1020 ME INSHA ALLAH)

📗KATABUL MASAIL 2/77

📕MASAILE ROZA 59
 
و اللہ اعلم

📝 Mufti Imran Ismail Memon.

🕌 Ustaze Darul Uloom Rampura,Surat, Gujarat,india

📱💻http://www.aajkasawal.page.tl

https://play.google.com/store/apps/details?id=com.islam.group

No comments:

Post a Comment

AETIKAF KE MAKRUHAAT

*AETIKAF KE MAKRUHAAT* ⭕AAJ KA SAWAL NO.2101⭕ Aetikaaf kin cheezon se makrooh hota hai?  🔵JAWAB🔵 Aetikaf niche dee hui baton se makrooh ho...