Thursday, May 4, 2017

MASJID ME GAIR MUSLIM KA LANA

*MASJID ME GAIR MUSLIM KA LANA*

⭕AAJ KA SAWAL NO.1⃣0⃣0⃣0⃣ ⭕

🔵 AAJ KA JAWAB🔵

EK GAIR MUSLIM MASJID ME AANA CHAHTA HAI TO US KO MASJID KA DIDAAR KARVA SAKTE HAIN YA NAHIN?

🔵AAJ KA JAWAB🔵

حامدا و مصلیا و مسلما

MASJID ME GAIR MUSLIM KE DAKHIL HONE KI GUNJAISH HAI BA SHARATE KE MASJID KI TAUHEEN, NUQSAAN MAQSUD NA HO, MAZID UNKE JISM AUR KAPDON PAR KOI DEKHAI DENEWALI NAJASAT NA HO, UNKE MUNH SE SHARAB KI  NA AATI HO

1⃣.HAZRAT ABU HURAIRAH رضی اللہ عنہ SE MARWI HAI : RASULE KHUD صل اللہ علیہ و سلم
APNE DOSTON KE SAATH MASJID E NABAWI ME TASHRIF FARMA THE KE
YAHUDIYON KI EK JAMA'AT AAYI AUR USNE AAP صل اللہ علیہ و سلم KE SAMNE APNE QABILAH KE ZINA-BADKARI KA MUQADDAMA PAISH KIYA AUR AAP صل اللہ علیہ و سلم NE ISKA FAISLA FARMAYA

2⃣.ISKE ALAWAH GAIR MUSLIMO KE JO WUFUD-JAMA'ATEN KHIDMATE AQDAS ME AAYA KARTE THE UNHE MASJID ME THERAYA JATA THA.

3⃣.BA'AZ MUSHRIK QAIDIYO KO BHI MASJID ME RAKHA GAYA

ISLIYE GAIR MUSLIM KO MASJID DIKHAI JA SAKTI HAI MASJID DIKHA TE WAQAT AAP USE MASJID KI HAQEEQAT BHI BATAIYE AUR USKO ZARIYAH BANAA KAR APNI TARAF SE USKO IMAN KI DA'WAT BHI PAISH KIJIYE.

📗KITABUL FATAWA 4/244
📕FATAWA MAHMOODIYAH 15/242
📘FATAWA QASMIYAH 18/470, 472

و اللہ اعلم

📝 Mufti Imran Ismail Memon.

🕌 Ustaze Darul Uloom Rampura,Surat, Gujarat,india

Alhamdulillah aaj
💐💐💐💐💐💐💐💐
💐💐1⃣:0⃣:0⃣:0⃣💐💐
💐💐💐💐💐💐💐💐
SAWAL MAHAZ ALLAH KI TAUFEEQ SE PURE HUWE DUAA KARE ALLAH ISE QABOOL FARMAYE ZARIYAH E  NAJAAT BANAYE AUR UMMAT KE LIYE ISE MUFEED BANAYE.
AUR AAJIZ KE MUKHLIS MUAAWIN JINHONE KABHI APNE NAAM LIKHNA PASAND NAHIN KIYA

*1.HINDI KARNE WALE*
ZAKIR BHAI PATEL BHARUCH

*2.URDU KARNEWALE*
MAULANA SALIM GOREGANW

*3.GUJRATI KARNEWALE*
SALIM BHAI ANSARI SURAT

*4.ENGLISH KARNEWALI*
EK BAHAN JIDDAH

*5.ARABI KARNEWALE*
MAULANA SAIYYAD HAIDAR ALI BHOPAL

*6.AAJIZ KI ROMAN SPELING CHEQ KARNEWALE*
FARID BHAI MORBIWALA SURAT

DUAA KARE KE IN TAMAM KO AUR ROZANA FORWARD KARNE WALON KO BHI DUNIYA WA AKHIRAT ME IS KA BEHTREEN BADALAH DE AUR IN KI NASALON KO DEEN KA KHADIM BANAYE.

   💐💐💐💐💐💐💐💐💐
   *_💐💐💐AAMEEN💐💐💐_*
   💐💐💐💐💐💐💐💐💐

No comments:

Post a Comment

AETIKAF KE MAKRUHAAT

*AETIKAF KE MAKRUHAAT* ⭕AAJ KA SAWAL NO.2101⭕ Aetikaaf kin cheezon se makrooh hota hai?  🔵JAWAB🔵 Aetikaf niche dee hui baton se makrooh ho...