Friday, May 12, 2017

KIN QARZON PAR ZAKAT NAHI

*KIN QARZON PAR ZAKAT NAHI*

⭕AAJ KA SAWAL NO.1009 ⭕

Kon kon se qarzon ko zakat ke nisab se minus (baad) kiya jayega aur kon kon se qarzon ko minus (baad) nahin kiya jayega.?

🔵AAJ KA JAWAB🔵

حامدا و مصلیا و مسلما

Har woh qarz jiska mutalabah bandon ki taraf se ho usko baad kiya jayega ya'ani in qarzon par zakat wajib nahin
Jaise ke

1. Naqad (cash) rupiye ka qarzah

2. Khareede huve saaman ka qarzah

3. Kisi se saaman-gaadi ka nuksan kiya ho uska jurmana-penalty

4. Kisi ka jaani nuksan kiya ya zakhmi kiya ho uska jurmana- penalty

5. Guzishta saal ki zakat nikalna baaqi ho to uski raqam.

6.Bivi ne khulaa-shauhar ko paise dene ka wa'ada kar ke talaaq li ho uska qarzah

har woh dain (debts) jiska ka mutalabah huqooqullah ki taraf se ho usko minus [baad] nahin kiya jayega balke uski raqam jamaa ki ho to saal pura hone ke waqt us par bhi zakat wajib hogi jaise.

1. Qasam, rozah todne ke kaffarah ki raqam

2 .Mannat-nazar ko pura karne ki raqam

3. Sadqah e fitr adaa karna baaqi ho uski raqam

4. Hajj umrah ke liye paise jamaa kiye ho uska rupiya

5. Aayindah nayaa makaan, nayi dukan lena ka iradah ho uski jamaa ki huyi raqam

6. Shadi karne ya jahez dene ke liye jama ki huyi raqam

📗kitabul masail 3/146,147 se makhooz
 
و اللہ اعلم

🌙15 sha'ban 1438 hijri

📝 Mufti Imran Ismail Memon.

🕌 Ustaze Darul Uloom Rampura,Surat, Gujarat,india

📱💻http://www.aajkasawal.page. tl

📱💻http://www.aajkasawalhindi.page.tl

https://play.google.com/store/apps/details?id=com.islam.group

No comments:

Post a Comment

AETIKAF KE MAKRUHAAT

*AETIKAF KE MAKRUHAAT* ⭕AAJ KA SAWAL NO.2101⭕ Aetikaaf kin cheezon se makrooh hota hai?  🔵JAWAB🔵 Aetikaf niche dee hui baton se makrooh ho...