⭕AAJ KA SAWAL NO.1026⭕
Rozah kin chizon se faasid ho jata hai?
🔵 AAJ KA JAWAB🔵
حامدا و مصلیا و مسلما
Wo Chizen Jinse Rozah Faasid Ho jata hai woh niche likhi gayi hain
1- Kaan aur Naak me dawa dalna.
2- Qasdan (Jaanbujh kar) moonh bharkar qai-vomit karna ya moonh bharkar aane ke baad kuchh hissah qasadan (jaanbujh kar) lauta Lena.
3- Kulli karte huve halaq me paani ka chalaa Jana,(us waqt Roza bhi yaad ho)
4- Aurat ko chhoone aur bosah lene se inzaal ho Jana-mani nikal jana.
5- Lobaan ya agarbatti ka dhunwa qasadan naak ya halaq me pahunchana
6- Bidi, cigarette ,huqqah pina
7- Bhool kar khaa pee liya aur khayal kiya k isse Roza toot gaya hoga, fir qasadan kha, pee liya
8- Raat samajhkar subah sadiq ke baad Sahri kha Lena,
9- Din Baaqi tha magar galaty se yeh samajha k Aaftaab guroob ho gaya hai, iftaar kar liya-kisi taqweem ya app me dekhkar waqt hote hi iftar kar liya baad me pata chala ghadi aage thi aur suraj guroob hone me 2 minutes baaqi thi.(akabireen ke mamool ke khilaf is se bilkul time par iftar karne ki baat karnewale ibrat le)
10 - Koi aisi cheez nigal Jana Jo Aadtan khayi nahi jati, Jaise ke lakdi, loha, kachcha gehu ka daana vagera
11- Baaf (steam, bhaanp) lena,
*(BAAQI KAL INSHA ALLAH)*
📘Kitabul masail 2/ safa 85 se 91
📘masaile rozah safa 63,64
و اللہ اعلم
📝 Mufti Imran Ismail Memon.
🕌 Ustaze Darul Uloom Rampura,Surat, Gujarat,india
📱💻
http://www.aajkasawal.page.tl
https://play.google.com/store/apps/details?id=com.islam.group
No comments:
Post a Comment