Wednesday, May 17, 2017

ZAKAT KE MUSTAHIQEEN

*ZAKAT KE MUSTAHIQEEN*

⭕AAJ KA SAWAL NO.1014 ⭕

Zakat kin kin logon ko de sakte hai?

🔵 AAJ KA JAWAB🔵

Har woh shakhs jo asli zaroorat yani istiamal ki cheezon aur qarzah ho to Adaa karne ke baad sadhe bawan tola (612.35 gram) chaandi (silver) ki qeemat ke kisi bhi qism ke maal ka malik Na ho.
to woh zakat le sakta hai.
agarche tandurast ho aur kamata bhi ho.

Agar kisi ke paas zaroorat se zaid maal
yani 3 jodi se zaid kapde, 2 jodi se zaid chappal, showcase ke bartan ho, tv, Na Jaiz khel ki cheezen, zaroorat se zaid plot wagair istiamal me na aane wali cheezen ho, in me se ek ya ba'az cheezon ki qeemat sadhe bavan tola (612.55) gram chandi ko pahonch jaye to ye shakhs zakat nahi le sakta.
agarche be rozgar ho, ya aisi awrat bewa ho.

Niche likhe huwe hazrat ko zakat de sakte hai.

1. haqeqee, maa sharik, baap sharik, dudh sharik bhai-bahan aur in ki awlad

2. apne chacha, fufi aur in ki awlad

3. apne mamu, khala aur in ki awlad

4. apne sotele maa baap aur un ki awlad

5. apne khusar-sasre, saas Aur un ki awlad

6. maldar awlad ke walidain jo ke mustahiqe zakat ho

7. maldar ki balig awlad jo ke mustahiqe zakat ho

8. maldar ki bivi jo ke mustahiqe zakat ho

9. maldar bivi ka shohar jo ke mustahiqe zakat ho

10. apne damad, bahu

11. shagird ka ustaz ko aur ustaz ka shagird ko

12. shohar ka apni bivi ki aisi awlad ko dena jo Us ke agle shohar se ho

13. bivi ka apne shohar ki aisi awlad ko dena jo Us ki pehli bivi Se ho

14. musafir ko jab ke safar me us ke paas maal na ho (is zamane me ATM 🏧 ka card aur us se nikalne ki qudrat na ho) agarche Us ke paas ghar par nisab ke baqadr maal ho.

15. na balig muhtaj jab ke us ka baap sahibe nisab na ho lekeen maa sahibe nisab ho

17. kisi ki 10,000 (das hazar) ki amdani hai lekeen kharch 12,000 (barah hazar) ka hai agarche zati makan aur gadi bhi ho

18. jis shakhs ki amdani kafi hai lekeen maqrooz ho, qarz kisi tarah Ada na kar sakta ho.

ye tamam hazrat mustahiqe zakat ho to in ko zakat di ja sakti hai, aur un ko ye bhi batlana zarooree nahi ke ye zakat hai. dil me niyyat karna Kafi hai.

📘Ahsanul fatawa 4/254
masaile zakat (rafat) safa 284,285

📝 Mufti Imran Ismail Memon.

🕌 Ustaze Darul Uloom Rampura,Surat, Gujarat,india

📱💻http://www.aajkasawal.page.tl

https://play.google.com/store/apps/details?id=com.islam.group

No comments:

Post a Comment

AETIKAF KE MAKRUHAAT

*AETIKAF KE MAKRUHAAT* ⭕AAJ KA SAWAL NO.2101⭕ Aetikaaf kin cheezon se makrooh hota hai?  🔵JAWAB🔵 Aetikaf niche dee hui baton se makrooh ho...