*HAJ COMMEETY ME BHARE HUWE PAISON PAR ZAKAT*
⭕AAJ KA SAWAL NO.1011 ⭕
Mene haj commeety me 2 lakh ruiye pure jumadiyul ukhraa me bhar diye the aur me har saal 21 ramzan ko zakat nikalta hun to kiya mujhe un rupyon par bhi zakat deni padegi?
🔵 AAJ KA JAWAB🔵
حامدا و مصلیا و مسلما
Aap ne haj commeety me pure rupiye bhar diye aur haj ki manzooree bhi aa gai lihaz un rupyon par to zakat nahi nikalni hai albattah hawai jahaz kharch, muallim fee aur dusre kharchon ke baad jitne paise saoodee riyal ki shakal me wapas milenge un ki zakat nikalni zarooree hogi.
📗KITABUL MASAIL 2/216
و اللہ اعلم
📝 Mufti Imran Ismail Memon.
🕌 Ustaze Darul Uloom Rampura,Surat, Gujarat,india
📱💻http://www.aajkasawal.page.tl
https://play.google.com; /store/apps/details?id=com.islam.group
No comments:
Post a Comment