⭕AAJ KA SAWAL NO.1027⭕
Rozah kin chizon se faasid ho jata hai ?
🔵 AAJ KA JAWAB🔵
حامدا و مصلیا و مسلما
*PART 2*
Wo Chizen Jinse Rozah Faasid Ho jata hai woh niche likhi gayi hain
*(Kal ke baaqi msg se aage)*
12- Mushtzani (haath se mani nikalna)
13- damah (asthma) ke mareez ka inhellar pump isteamal karna.
14- munh me paan-gutkha daba kar so jana yahaan tak ke subah sadiq ho jaye.
15- naksir fute aur naak ka khun halaq me chala jaye.
16- dant-masoodon ka khun agar itna ziyadah ho ke woh thuk par gaalib aa jaaye ya'ani thuk ko laal kar de ya thuk ke baraabar-saraabar ho jaye aur woh thuk pet me chala jaye agar thuk me khun kam ho ya'ani khun ka mazah halaq me ma'alum na ho to rozah fasid na hoga
17- enema lena ya'ani pet ki safai ke liye pichhe ke raste se dawai charhaana
18- mard ki peshab ki nali me koi dawai dali jaye aur woh masaane tak pahonch jaye. Agar masane tak na pahonche to rozah faasid nahi hoga
19- aurat ka apni sharmgah me koi dawai dalna
20- aurat ki sharmgah me doctorni ka chekap ke liye bhigahuwa ya dawai wala haath ya mashin dalna agar haath ya machine par dawa na ho to rozah faasid na hoga
21- danton me gosht ka resha, supari wagairah ka tukda atka huwa tha aur use se munh se baahar nikale bagair zuban ya khila se nikalkar munh ke andar hi andar nigal liya ya khud bakhud halaq me chala gaya to dekhi agar woh cheez chane ki miqdar se ziyadah hai ya chane ke barabar hai to rozah faasid ho gaya agar chane se kam hai to fasid nahin huva agar munh se bahar nikala fir nigal gaya to har hal me rozah faasid hoga chahe chane ke baraabar ho ya us se bhi kam ho.
📘Kitabul masail 2/ safa 85 se 91
📘masaile rozah safa 63,64
و اللہ اعلم
📝 Mufti Imran Ismail Memon.
🕌 Ustaze Darul Uloom Rampura,Surat, Gujarat,india
📱💻
http://www.aajkasawal.page.tl
https://play.google.com/store/apps/details?id=com.islam.group
No comments:
Post a Comment