*TARAVIH KI NIYYAT AUR HUKM*
⭕AAJ KA SAWAL NO.1022⭕
A.Taravih ka kya hukm hai?
Parhna zaruri hai?
Mard aur aurat dono ke liye ek hi hukm hai?
B.Taravih ki niyyat kya kare?
C. 20 raka't ki niyyat saath me kar sakte hain?
🔵JAWAB🔵
A.Taravih mardon aur aoraton sab ke liye pura mahina *sunnat e muakkadah* hai. magar aurton ke liye jama't sunnat e muakkadah nahin hai.
📗KIFAYATUL MUFTI 3/361
Sunnat e muakkadah ko bila uzr chhodna manaa hai aur chhodne ki aadat banane wala fasiq aur gunehgar hai.
B. Taravih ki niyyat ka wohi tariqah hai jo dusri namazon ka hai. uski niyyat is tariqah se hai je do rakat sunnat taravih ki niyyat karta hun dil me sochkar ya kehkar Allahu Akbar keh kar namaz bandh le.
📘MAZAHIRE HAQ JADEED 14
C.Taravih ke shuru me 20 rakat ki niyyat kaafi hai har do rakat par niyyat shart nahin.
📒FATAWA RAHEEMIYYAH 1/354
📙MASAILE TARAWEEH RAFAT 70,71
✏Mufti Imran Ismail memon Hanfi gufir lahu
🕌Ustaze Darul Uloom
Rampra, Surat, Gujarat, India.
📱💻
http://www.aajkasawal.page.tl
https://play.google.com/store/apps/details?id=com.islam.group
No comments:
Post a Comment