*JHGDA HO TO FESLA KAHAN KARAYE?*
⭕AAJ KA SAWAL NO.999⭕
Aaj kal miyan bivi me ya bhaiyon wagairah me jhagda hota hai to foran curt-kacheri me muqaddamh-caesh kiya jata hai.kya ye tareeqh saheeh hai shareeat is bare me hame kya ta'leem deti hai?
🔵 AAJ KA JAWAB🔵
حامدا و مصلیا و مسلما
Hamari shareeat har a'etibar se mukammal hai us me har masle,jhgde aur preshsni ka hal mavjood hai lihaza koi bhi jhagda ho to us ke bare me allah ta'la quran me farmate hai فلا و ربک لا“” یؤمنون حتی یحکمکوڭ فما شجر بہنھم ثم لا یجدو
فی انفسھم حرجا مما قضیت و یسلمو تسلیما“ ( سورہ نساء آیت ۶۵);
TARJAMA: Fir qasam hai aap ke rab ki ye log iman dar na honge, jab tak ye baat na ho ke un ke aapas me jo zaghde waqia-upasthit ho us me ye log aap se (aur aap ne ho to aap صل اللہ علیہ وسلم wasallam ki shareat se) fesla kara den fir jab aap fesla kar den to
us aap صل اللہ علیہ وسلم ke fesle se apne dil me (inkar ) tangi na pawen aur (us fesle ko) pura pura (zahir wa batin )se tssleem kar len.”
is ayat me qasam khakar haq ta'la shanhu ne farmaya hai ke admi us waqt tak musalman ya mu'min nahi‘’ ho sakta hai jab tak ke woh huzoor صل اللہ علیہ وسلم ko aur huzoor ke baad huzoor صل اللہ علیہ وسلم ke naaib-un ki jaga ulamaa e kiram ke sharee fesle ko thande dil se puri tarah maan na len is tarah ke fesle ke ba'd us ke dil me koi tangi na pai jaye yani yun sochna ke ye shareeat ka fesla (allah ki panah) barabar nahi hai is ki jaga to me hukoom ki curt ka fesla karwata to woh achchha hota aesa samjhna aur hadees ne bataye huwe huzoor صل اللہ علیہ وسلم ke fesle ko na maanna kufr hai.lihaza har musalman ka farz hai kisi bhi masle me aapas me ikhtilaf ki nobat aaye to aapas me jhgadte rehne aur curt kacheri me gair islami fesla lene ke bajaye dono fareeq-party aap صل اللہ علیہ وسلم ki shareeat me ulamaa se puchh kar masle-jaghde ka hal talash karen.
و اللہ اعلم
📗MA'RIFUL QURAAN HZ. MUFTI SHAFEE RH.KI 2/460 se 462 ka khulasa.
*NOT*Koi bhi jhagda islami adalat-darul qazaa ya darul iftaa se apna masla hal kare ye har bade shahar me mavjood hai.
📝 Mufti Imran a Memon.
!
🕌 Ustaze Darul Uloom Rampura,Surat, Gujarat,india
📱💻http://www.aajkasawal.page.tl;
https://play.google.com/store/apps/details?id=com.islam.group
No comments:
Post a Comment