*CHAR RAKAT PAR PARHNE KI DUAA KI HAQIQAT*
⭕AAJ KA SAWAL NO. 1024 ⭕
Taravih ki char 4 raka'at ke baad jo duaa padhi jati hai woh hadees se sabit hai?
🔵 AAJ KA JAWAB🔵
حامدا و مصلیا و مسلما
Taravih ki har 4 raka'at ke baad jo duaa padhi jati hai uske alfaz mukhtalif ahadees se sabit hain usme ba'az hadees ki sanad bahot hi kamzor hai. puri duaa kisi ek hadees me nahin aayi hai.
Aur usko tarviha(taravih ki char raka'at) ke baad padhna kisi bhi hadees se sabit hona bahot mushkil hai.
Yeh duaa allamah ibne aabedeeen apni kitab shaami me naqal ki hai jiski wajah se mukhtalif kitabon aur hamare ilaqon me raaij ho gayi tarviha me hanafiyyah ke nazdeek 3 ikhtiyar hai us waqt tasbeeh padhe, ya hamd kare, ya khamosh reh kar agli raka'at ka intizar kare.
📗 MUHITE BURHANI 2/181
📕JAWHARUN NAIYYARAH SAFA 385
📘MARGUBUL FATAWA 3/429
me ulamaa e dewband ka ye mawqaf likha hai ke
us waqt zikr karna mustahab hai lekin bahot se ilaqon me is me gulu hone lagaa hai.
Mustahab ke saath wajib aur zaruri jaisa muaamala kiye jane lage to fuqhaa(masail ke mahireen) usko chhod dene ka hukm dete hain is duaa ko zor se padhne ka bhi ba'az ilaqon me riwaj hone laga hai ba'az masajid me qiblah ki diwar par iske postar jagah jagah par chipkaye jane lage hain aur ehtamam se iske light bord aur card banaye jane lage hain.
Tarviha ke waqt yeh duaa padhne ki gunjaish to hai albattah dusre masnoon azkaar padhne ka ziyadah sawab hai.
*jaise سبحان اللہ و الحمد للہ و لا اله الا اللہ واللہ اکبر*
Us duaa ki jagah iske padhne ka imam e rabbani hazrat Moulana Rashid Ahmad Gangohi rahmatullahi alayh ma'amul tha iski fazeelat saheeh ahadees se sabit hai isliye iska takrara-bar bar padhna afzal hai.
📙FATAWA DARUL ULOOM DEWBAND 4/246
Hazrat hakeemul ummat thanwi rahmatullahi alayhi se puchha gaya ke aap kya padhte ho to farmaya us waqt koi khas zikr Shara'an mutayyan nahin isliye me 25 baar durood shareef padh leta hun.
📔TUHFA E RANZAN SAFA 11
ABU MUAAZ MAKKI KE URDU MAZMOON KA KHULASA
و اللہ اعلم
📝 Mufti Imran Ismail Memon.
🕌 Ustaze Darul Uloom Rampura,Surat, Gujarat,india
📱💻
http://www.aajkasawal.page.tl
https://play.google.com/store/apps/details?id=com.islam.group
No comments:
Post a Comment