💍 *AURTON KE LIYE ARTIFICIAL ANGUTHI (RING)*💍
⭕AAJ KA SAWAL NO.998 ⭕
Aurat sone (Gold) chandi (Silver) ke alawah dhat (metals) ki artificial anguthi aur zewar (jewelry) pahan sakti hain?
aur pahan sakte ho to namaz us me makruh hogi?
🔵 AAJ KA JAWAB🔵
حامدا و مصلیا و مسلما
Aurton ko sone chandi ke alawah kisi bhi dhat ki anguthi pahanna jaiz nahi. lekin artificial anguthi par agar sone ya chandi ki polish chadi hui ho to jab tak woh polish baaqi hai anguthi pahanne me koi haraj nahin.
Albattah anguthi ke alawah dusre tamaam zewar sone chandi ke alawah dhat ke imitation jewellery (khote zewar) pahan sakti hain usme namaz makruh bhi nahin hai
و اللہ اعلم
📕FATAWA QASMIYAH 24/395
BAHAWALA
📘IZAHUL MASAIL 137
📗DEENEEMASAIL 322
📙AHSANUL FATAWA 8/70
📚SHAMI, HINDIYAH, BADAYEA SE MAKHOOZ
📝 Mufti Imran Ismail Memon.
🕌 Ustaze Darul Uloom Rampura,Surat, Gujarat,india
📱💻http://www.aajkasawal.page.tl
📱💻http://www.aajkasawalgujarati.page.tl
📱💻http://www.aajkasawalhindi.page.tl
https://play.google.com/store/apps/details?id=com.islam.group
No comments:
Post a Comment