*ROZE KE MAKROOHAAT*
⭕AAJ KA SAWAL NO.1021 ⭕
ROZE KE MAKROOHAAT KYA KYA HAI ?
🔵 AAJ KA JAWAB🔵
حامدا و مصلیا و مسلما
1. BILA UZAR KISI CHEEZ KA CHABANA. ALBATTA KISI AURAT KA SHOHAR BAD MIJAZ HO AUR KHANA KHARAB HONE PAR USKE GUSSE HONE KA ANDESHA HO TO USE NAMAK ZABAN KI NOK PAR RAKH KAR CHAKHANE KI IJAZAT HE.
ISI TARAH AGAR CHHOTE BACHCHE KO ROTI CHABA KAR KHILANE KI ZARURAT HO AUR ROZEDAR AURAT KE ALAVA VAHAN US ZARURAT KA PURA KARNEVALA KOI NA HO TO VOH USE CHABA KAR DE SAKTI HE. LEKIN YE EHTIYAT HONA CHAHIYE KE AESA KARNE ME NAMAK YA ROTI KA KOI HISSA HALAQ KE NICHE NA UTARNE PAYE. VARNA ROZA JATA RAHEGA.
2. ROZE KI HALAT ME TOOTHPASTE ISTIMAL KARNA. KOYLA YA KOI MANJAN DANTO ME MALNA YA AURAT KA IS TARAH HONTH PAR SURKHI LIPSTICK LAGANA KE USKE PET ME CHALE JANE KA ANDESHA HO.
3. ROZE KI HALAT ME BIVI SE DIL LAGI KARNA BHI MAKRUH HE. JAB KE JIMAA-SOHBAT YA INZAL-MANI NIKALNE KA KHOF HO.
4. ROZE ME HAR AESA KAAM KARNA MAKRUH HE JIS SE IS QADAR KAMZORI KA ANDESHA HO KE ROZA TODNA PADEGA.
5. NAAK ME PANI CHADHANE AUR KULLI KARNE ME MUBALAG -HAD SE ZAYADATI KARNA.
6. SAHRI ME ITNI TAKHEER KARNA KE WAQT ME SHAK PEDA HO JAYE.
7. NAHANE KI HAJAT HO JANE PAR JANBUJH KAR SUBAH SADIQ KE BAAD TAK GUSAL ME TAKHEER KARNA.
8. BEQARARI AUR GHABRAHAT ZAHIR KARNA.
9. MUH ME THOOK JAMA KARKE NIGALNA.
WESE BILA JAMA KIYE NIGALNA MAKOOH NAHI
10. ROZE KI HALAT ME KISI BHI QISAM KE GUNAH KA KAM KARNA.
(SAVME MAHMUD SAFA 30, 31)
و اللہ اعلم
📝 Mufti Imran Ismail Memon.
🕌 Ustaze Darul Uloom Rampura,Surat, Gujarat,india
📱💻http://www.aajkasawal.page.tl
https://play.google.com/store/apps/details?id=com.islam.group
No comments:
Post a Comment