Sunday, May 28, 2017

ROZE KI QAZA & KAFFARAHKA USOOL

*ROZE KI QAZA & KAFFARAHKA USOOL*

⭕AAJ KA SAWAL NO. 1025⭕

Roza todne ki wajha se qaza aur kaffarah kab wsjib hota hai aur kab nahi?
is ka kya usool hai?

🔵 AAJ KA JAWAB🔵

حامدا و مصلیا و مسلما

Woh sooraten jin se kaffarah aur qaza dono wajib hai wo ye hai,

1. ramzan ke adaa roze me bila uzr janbujhkar aesee cheez khana jo giza-khane ke taur par ya dawai ke taur hee khayi jati ho ya kaamil lazzat ke taur par ho istiamal hoti ho kha pee lena ya istiamal karna.

Is maloom huwa ke kachcha khana khane se,bidi pene se,lagane ki dawa nigal jane se, hath se mani nikalne se (aese par allah ki laanat hai),bv se sirf chimtne ya bosa lene sse inzal ho gaya to kaffarah nahi. in cheezon gizaiyat, dawaiyyat, kamil nafa kamil lazzat nahi.

2. janbujh kar sohbat karna.

3.ankh me dawa lagai ya ulti hui fir ye samjhkar ke roza toot gaya halanke in dono Se roza nahi toota tha Fir bhi janbujhkar khaa pee liya.

*Woh shaklen jin me qaza hai kaffarah nahi hai wo ye hai*

1. nafal roza, ramzan ka qaza roza Ya kisi sharee uzr jaise bimari, sakht taklif, safar ki wajha se roza tod diya to kaffarah wajib nahi

📗>masaile roza

📔>ilmul fuqah jild som se makhooz

و اللہ اعلم
📝 Mufti Imran Ismail Memon.

🕌 Ustaze Darul Uloom Rampura,Surat, Gujarat,india

📱💻
http://www.aajkasawal.page.tl

No comments:

Post a Comment

AETIKAF KE MAKRUHAAT

*AETIKAF KE MAKRUHAAT* ⭕AAJ KA SAWAL NO.2101⭕ Aetikaaf kin cheezon se makrooh hota hai?  🔵JAWAB🔵 Aetikaf niche dee hui baton se makrooh ho...