Thursday, May 11, 2017

SHABE BARAAT.. ME IJTIMAEE IBADAT

*SHABE BARAAT.. ME IJTIMAEE IBADAT*

⭕AAJ KA SAWAL NO.1008 ⭕
Makhsoos raaton me nafali ibadat masjid me nahin karna chahiye balke ghar me hee karni chahiye kya ye baat saheeh hai ?

🔵 AAJ KA JAWAB🔵

حامدا و مصلیا و مسلما

Masjid me ibadat karne ki ek surat to yeh hai ke magrib ya ishaa ki namaz parhne aaya tha, to uske saath me badi raat ki nafali ibadat bhi zimnan kar li, to is me koi haraj nahin. haan in nafali ibadat ko ghar me karta to behtar aur ziyadah sawab tha.

Kyun ke Huzoor صل اللہ علیہ وسلم tahajjud aur farz namaz ke baad ki sunnat, naflen ghar me padhte the. iske ba wajood ke ghar tang tha, chirag tak ka intizam nahin tha, Aap صل اللہ علیہ وسلم wasallam namaz me sajdah karte to hazrat Aishah رضی اللہ عنہا ke pair ko Huzoor صل اللہ علیہ وسلم chhute the taa ke woh apne pair sukad len aur aap sajdah kar sake, aur Aap jab sajdah se khade hote to hazrat Aishah radiallahu anha apne pair wapas faila leti.

Jagah ki itni tangi aur masjide nabawi jahaan pachas hazar (50,000) namaz ka sawab, itni qareeb ke panw bahar nikalo to masjide nabawi me pade. fir bhi Huzoor صل اللہ علیہ وسلم ne nafali ibadat ghar hi me adaa farmate.

Dusri surat yeh hai ke apni zaruriyat se farig hokar khaas kar ke masjid me is nafali ibadat ke liye aana, ya bhaiyon aur doston ko jamaa kar ke lana, is tarah ehtamam ke saath logon ka khaas kar ke masjid me jamaa ho kar ibadat karna Huzoor صل اللہ علیہ وسلم ke tareeqah ke khilaf, bida't aur shareeat par zayadati hai.

Ba'az log uzr karte hain ke ghar me nind aati hai, ya bachche rote hai, dil nahin lagta aur ziyadah ibadat nahin hoti.
to iska jawab yeh hai ke khushu'a aur khuzu'a naam hai sunnat ki ittiba ka. jis ne Huzoor صل اللہ علیہ وسلم ke tareeqah ke mutabiq ibadat kar li to use khushu'a haasil hai.

Agar koi laakh aaho zaari kare lekin Huzoor صل اللہ علیہ وسلم ke treeqah par nahin to woh shareeat ki nigah me us ko khushu'a nahin kahaa jayega.

Aur Allah ke nazdeek ibadat ki kammiyat- quantity  maqsud nahin balke kaifiyat- quality maqsud hai.

Ghar me sunnat ke mutabiq jitni der bhi ibadat ho sake kare, tabiyat ukta jaye aur nind aaye to so jaye yeh baat hadees se sabit hai. Allah ke saath tanhai me duaa ke raazo niyaaz ke chand lamhe majme aur bhid me poori raat ibadat se behtar hai.

📗MASAILE SHABE BARAT WA SHABE QADR RAFATI SAFA 63 se 65 ka khulasa ba hawala

📕AHSANUL FATAWA 1/373
 
و اللہ اعلم

📝 Mufti Imran Ismail Memon.

🕌 Ustaze Darul Uloom Rampura,Surat, Gujarat,india

📱💻http://www.aajkasawal.page.tl

https://play.google.com/store/apps/details?id=com.islam.group

No comments:

Post a Comment

AETIKAF KE MAKRUHAAT

*AETIKAF KE MAKRUHAAT* ⭕AAJ KA SAWAL NO.2101⭕ Aetikaaf kin cheezon se makrooh hota hai?  🔵JAWAB🔵 Aetikaf niche dee hui baton se makrooh ho...