*HAR MAL PAR SAL GUZARNA ZAROORI NAHI*
⭕AAJ KA SAWAL NO.1005⭕
Kiya zakat wajib hone ke liye har maal par saal guzrna zarooree hai?
Darmiyan me maal zakat ke nisab se ghat gaya aur darmiyan me naya mal bhi aata jata raha sab par zakat hai?
🔴JAAB🔴
Zakat ke nisab par saal guzrna kafi hai har har mal par sal guzrna zarooree nahi, saal pura hote hee mavjoodah sab Maal, milkiyat ki zakat de chahe baaz mal 1 maheen ya hafte pehle hee aaya ho to us ki bhi zakat de.
Sal ke shurooa me aur saal ke akhir me zakat ka nisab yani sare bavan tola chandi ki qeemat Ka malik hona kafi hai darmiyan me maal,nisab ki miqdar se kam raha tab bhi pure nisab ki zakat wajib hogi.
📗kitabul masail jild 2
safa 133 Se makhooz
📘bahawala maraqiyul falah 389
📕Alamgiri 1/175
✏IMRAN ISMAIL MEMON HANFI GUFIRA LAHOO
MUDARRISE DARUL ULOOM RAMPURA SURAT GUJRAT INDIA
Roman urdu me masail ke liye zaroor dekhe www.aajkasawal.page.tl
https://play.google.com/store/apps/details?id=com.islam.group
No comments:
Post a Comment