*ZAKAT KITNE PAISON PAR WAJIB*
⭕AAJ KA SAWAL NO.1013 ⭕
Aaj ki tareekh me kitne rupiye ka maal ho to zakat wajib hoti hai?
🔵 AAJ KA JAWAB🔵
Jis ke paas saal ke shuru'a aur saal ke akhir me [saade bavan tola] 612 gram 35 mg. chaandi (silver) ho ya [saade saat tola] 87 gram 479 mg. sona (gild) qarza adaa karne ke baad bachta ho, us par zakat vajib hai.
Ya saade bavan tola chandi ki qeemat aaj 16 may 2017 ke hisab se 23,700 Rs. ki qeemat ke baqadr zakat ka maal qarza Adaa karne ke ba'ad mavjud ho to bhi zakat wajib hai.
Masalan 1 tola sona hai aur 50 rs naqad hai aur qarza nahin hai to uspar zakat wajib hai
Ya bechne ka kuchh maal hai aur kuchh naqad paise hain aur dono ko milaya jaye to chaandi ke nisab ki qeemat tak qarza adaa karne ke ba'ad pahonch jata hai to us par saal ke khatm par zakat wajib hai, saal ke darmiyan me maal nisab se kam ho jaye to us ka eatibar nahin.
ya
Sona, chandi, naqad, maal-e-tijarat in charon ko ya ba'az ko milaya jaye to chaandi ke nisab ki qeemat ko pahonch jaye to bhi zakat vajib hai.
📘masaile zakat safa 61 ba hawala ahsanul fatawa 4/254 se mskhooz
و اللہ اعلم
📝 Mufti Imran Ismail Memon.
🕌 Ustaze Darul Uloom Rampura,Surat, Gujarat,india
http://www.aajkasawal.page.tl
https://play.google.com/store/apps/details?id=com.islam.group
No comments:
Post a Comment