*TARAWEEH KI RAKAT CHHUT JANA*
⭕AAJ KA SAWAL NO.1023⭕
Ek Aadmi masjid me aise waqt aaya ke isha ki farz namaz aur taravih ki do chaar raka'at ho chuki thi to chhuti huyi taravih kis tarah parhe?
Aur vitr ba jama'at parhe ke chhuti huyi taravih ke puri karne ke baad parhe?
🔵 AAJ KA JAWAB🔵
حامدا و مصلیا و مسلما
Aise shakhs ko chahiye ke pehle farz aur sunnaten parhe aur us ke baad taravih me shareek ho aur chhuti huyi taravih do tarviha (4 rakat ke baad thodi der bethne ka waqfa) ke darmyan puri kare agar mauqa na mile to vitr ke baad parhe aur vitr aur taravih ki jama'at chhodkar tanha (alag, akela) na parhe
📘Masaile taraweeh rafat safa 77 bahawa kabeeree
و اللہ اعلم
📝 Mufti Imran Ismail Memon.
🕌 Ustaze Darul Uloom Rampura,Surat, Gujarat,india
📱💻
http://www.aajkasawal.page.tl
https://play.google.com/store/apps/details?id=com.islam.group
No comments:
Post a Comment