Wednesday, April 19, 2017

TALAQ KA FAIDEH

*TALAQ KA FAIDEH*

⭕AAJ KA SAWAL Number 984⭕

Islam me talaq ke qanoon ki kya Hikmat aur maslihat hai ? Ba'az Bhartiya bhai kehte hain ke talaq ka qanoon khatm kar diya jaye to kya haraj hai ? un ko kya jawab diya jaye ?

🔵JAWAB🔵

*TALAQ KI HIKMAT*
nikah ek muaahadah (agreement ) hai, shohar ki taraf se is baat ka ke woh bivi ka mahar, us ki tamam zarooriyat ka kharcha aur us ke sath achchha sulook karega,
aur aurat ki taraf se is baat ka ke woh badkaari (ganda kaam) nahi karegi, shohar ke huqooq adaa karegi,
Agar dono me se koi bhi apna agreement (sharten) puri na kare to dunya ke dusre muaamalon (lenden) ki tarah ye muaamalah bhi faskh (tod) dene ke qabil ho jata hai, is todne ke liye suleh ki sab koshish ke baad mard ko talaq dene ka ikhtiyar aur aurat ko islami qazi (judge) ke paas jakar nikah tudwane ka ikhtiyar diya hai.
Aurat Shohar ke ya shohar bivi ke huqooq adaa na kare, masalan dono me se koi gande kaam, badkaari karne lage to us ki misaal badan ke us hisse aur daant ki tarah hai jo sad gaya ho aur us ki wajha se pure jism ko taklif ho rahi ho, to us hisse ko kaat dena koi bhi bura nahi samjhta, balke zarooree samjhta hai,
isi tarah naa farmaan (ganda kaam karanewali) aurat ko nikah ke bandhan se kaat dena bura nahi.

📗(AHKAME ISLAM AQL KI NAZAR ME SAFA 218,219 KA KHULASA)

islam me talaq na hoti to niche di gayi kharabiyan aur nuqsanat paida hoti jo dusri qaumo me paida ho Chuki hai.

*TALAQ KA QANOON NA HONE KE NUQSANAT*

1. Agar shohar ko bivi se ya bivi ko shohar se itminaan (santosh) na milta, aur talaq bhi na hoti, to shohar dusri auraton se aur bivi dusre mardon se galat ta'lluqat paida karte.

2. Dono me se koi be waqoof (kam aql) hota aur ek ko dusre ke kisi kaam se itminan (satisfaction) na hota, aur talaq na hoti, to sab kaamo me aur huqooq ki adaygi me nuqsan mahsoos karte rehte.

3. ek dusre se na banti, aur talaq na hoti, to us se jaan chhudane ke liye Us par zulm karta, taake wo khudkushi (aatma hatya) karne par majboor ho jaye.

4. anban hone ki surat me, Talaq na hoti, to us bivi ko us ke mayke (us ke maa baap ke ghar) bhej deta aur use apne paas na bulata, is tarah use latka kar us ki zindagi barbad kar deta. Taake na to khud usko bulaye aur na hi wo aurat kisi dusre se shadi kar sake.

5. Agar saas ko bahu ka mijaz pasand na aata, aur talaq na hoti, to bahu ko jalaa diya jata ya gas  khula rakhkar haadse ka cash bana diya jata. Jaise aaj kal rozana akhbaron me aata hai.

6. bivi ko Shohar ka, ya shohar ko bivi ka mijaz pasand hi na aata, aur Talaq na hoti to, dono ki puri zindagi jhagde me guzarti ya khud kushi (suicide) kar lete.

7. Agar shohar naamard hota yaani bivi ki private zarurat puri na kar sakta aur ilaj bhi faidamand na hota, aur talaq na hoti to, bhi bivi dusre mardon se na jaiz ta'lluqat paida kar leti.

8. Agar koi laa ilaj (jiska ilaaj na ho) jismani bimari hoti ya awlad kisi ilaj se bhi na hoti, aur talaq bhi na hoti, to ye joda sagi (haqeeqee, apne khud ki) awlad se mahroom hota aur bechen rehta.

9. Agar talaq na hoti to, aesa jhagda hone par jis me talaq hone ke khatre ki wajha se suleh aur jod ho sakta ho, fir bhi court se talaq hasil karne ke liye muqaddama dakhil karne ke baad suleh na ho sakti, kyun ke case  ko wapas khichne me log apni be izzati samjhte hai. ek tahqeeq (survey) se pata chala ke talaq lene court me jane ke baad aise mamooli jhagde gair muslim miya bivi ke musalmanon se kai guna zayada case pending hai jis me aasani se suleh ho sakti thi.

10. Kabhi miyan bivi dono bad akhlaq (bad character) hone ki wajha se ek dusre se nafrat karte hai, aur jhagda mamooli baton par baar baar hota rehta, agar talaq na hoti to, ek saath me zindagi guzarna mushkil aur taklif deh ho jata.

11. dono ghar chalane me tangi mahsoos karte, maslan mard jitna kharch deta hai aurat ke liye naa kaafi hai, aur aurat jitna mangti hai mard ke bas ka nahi hai, to talaq na hoti to, dono chori karne par ya aurat jism bechne ya nokri, tijarat karne par majboor ho jati, aur islam ne aurat par kamane ki zemmedari bhi nahi daali hai us ko ghar ki malikah (rani, Queen) banaya hai.

12. Shadi baad mard ko koi dusri aurat pasand aa rahi hai, ya aurat ko koi aur mard pasand aa raha hai aur dil udhar hi lag jaye aur miya bivi ka ek ka dusre se dil hi uthh jaye aur ek dusre ke huqooq ada karne me kotahi hone lage to talaq na hoti to dono galat ta'lluqat paida kar lete ya puri zindagi pasandeedah partner ke liye bechan rehte.
*NOT* Yun na kahe ham cort se talaq le lenge cort se talaq lene me hazaron rupiye ka kharch aur fesla aate aate salo saal nikal jate hai tab tak upar likhi gai aksar kharabiyan paida ho chuki hoti hain aur gair muslim judje ka fesla jo shareeat ke khilaf ho saheeh nahi us se nikah khatm nahi hota.

📘RAHMATULLAHI WASIAA SHARHE HUJJATULLAHI BALIGAH 9/139 SE MAKHOOZ

BA IZAFAH E KASEERAH AZ AHQAR IMRAN MEMON.

📘KITABUL MASAIL 10/93

✏MUFTI IMRAN ISMAIL MEMON HANFI USTAZE DARUL ULOOM RAMPURA SURAT GUJRAT INDIA

No comments:

Post a Comment

AETIKAF KE MAKRUHAAT

*AETIKAF KE MAKRUHAAT* ⭕AAJ KA SAWAL NO.2101⭕ Aetikaaf kin cheezon se makrooh hota hai?  🔵JAWAB🔵 Aetikaf niche dee hui baton se makrooh ho...