SHART PAR GAADI (vehicle) LENA*
⭕AAJ KA SAWAL NO.983⭕
Aaj kal gaadi ki zaroorat ho to gaadi ki qeemat se kam paisa dene par gadi milti hai,
masalan 30,000 rupiye do to 50,000 ya 60,000 wali gaadi istiamal ke liye milti hai,
jitne maheene istiamal karni ho istiamal kar ke wapas dena shart hota hai.
jab wapas dene jana ho to agar gadi me kuchh kharabi paida hui hai to usey repering karwa kar usee halat par gaadi wapas dena shart hota hai.
shart ke muwafiq gaadi lotai jaye to gaadi wala us gaadi ki dee hui qeemat masalan 30,000 puri deta hai warna repering kharch kaat leta hai to is tarah gadi khareedna jaiz hai ?
agar jaiz na ho to jaiz hone ki surat batane ki guzarish, kyun ke bahot se log aesa kar rahe hai. ise log rahan par gadi lena kehte hai.
🔵JAWAB🔵
حامدا و مصلیا و مسلما
wapas karne ki shart ke sath gaadi khareedna aur bechna jaiz nahi.
koi cheez khareedne ke baad khareedne wala uska malik ban jata hai, isliye us par wapsi ki shart lagane se muaamala fasid-kharab aur na jaiz ho jata hai.
dusree kharabi is me ye hai ke gaadi pese (qeemat) di hai woh udhaar -qarz ke hukam me hai, pese udhar dekar gadi se nafa uthana sood kahlayega. jo bada hee sakht gunah hai.
is ke jawaz ki shakal ye hai ke wapas karne ki shart gaadi dete waqt na lagai jaye balke jitni qeemat dekar gadi deni ho utni qeemat lekar use gadi bech dee jaye. shareeat me zabani bech dena kafi hai.bechne ko likh kar dena zarooree nahi, bechne ke baad us se wadah liya jaye ke gaadi ham ko hee wapas dena tumhari puri qeemat ham tum ko gadi asli halat par lotane ki soorat me wapas kar denge.
khareedar ka gaadi wapas karna akhlaqi fareezah kehlayega.
📗FATAWA MAHMOODIYA DABHEL 16 / 258 BA HAWALA
📘 RADDUL MUHTAR 5/275
و اللہ اعلم
✏IMRAN ISMAIL MEMON HANFI GUFIRA LAHOO
🕌USTAZE DARUL ULOOM RAMPURA SURAT GUJRAT INDIA
http://WWW.AAJKASAWAL.PAGE.TL
🌐Telegram.me/Aajkasawal
https://play.google.com/store/apps/details?id=com.islam.group
No comments:
Post a Comment