Saturday, April 22, 2017

SHABE MERAJ KI HAQEEQAT

*SHABE MERAJ KI HAQEEQAT*

⭕AAJ KA SAWAL NUMBER. 988 ⭕

Shabe meraaj ki kya fazeelat hai?
us me kya ibadat karni chahiye?

🔵 AAJ KA JAWAB 🔵

حامدا و مصلیا و مسلما

27 Rajab ki shab ke bare me ye Mashhoor hogaya hai ke ye SHAB-E-MERA hai aur is Shab ko bhi usi tarah guzarna chahiye jis tarah Shab e Qadr guzari jati hai aur jo Fazeelat Shab e Qadr ki hai,kam o besh Shab e Meraj ki wahi Fazeelat samjhi jati hai, balke Maine to ek jagah ye likha hua dekha ke shabe meraj ki fazeelat shabe qadr se bhi zayada hai.
aur phir us raat me logo ka Namazon ke bhi Khaas khaas tareeqe Mashhoor kardiye ke us raat me itni Rakaten padhi jayen aur har Rakaat me Fulaan Fulaan khaas Soorten padhi jayen. Khuda jane kya kya Tafseelaat is namaz ke bare me Logon me Mashhoor ho gayi. Khoob samajh lijye , ye Sab be asal baaten hain, Shariat me inki koi asal aur koi bunyaad nahi.

*SHAB-E-MERAJ KI TA’YEEN ME IKHTELAAF*

Sab se pehli baat to ye hai ke 27 RAJAB ke bare me yaqeeni taur par nahi kaha jasakta ke ye wahi Raat hai jisme Nabi kareem sallallahu alaihi wasallam MERAAJ par tashreef le gaye the, kyu ke is baab me mukhtalif riwayaten hain.Baaz riwayaton se Maloom hota hai ke Ap sallallahu alaihi wasallam RABI UL AWWAL me tashreef legay the , b'az riwayaton me RAJAB ka zikr hai aur Ba'z Riwayaton me koi aur Mahina bayan kiya gaya hai. Is liye poore yaqeen ke sath nahi kaha ka sakta ke kaunsi raat Saheeh Me MERAJ ki raat thi, jisme Huzoor sallallahu alaihi wasallam MERAJ tashreef legaye.

*WAQIA E MERAJ KI TAREEKH KYU MEHFOOZ NAHI?*

Is se ap khud andaza karlen ke agar Shab e Meraj bhi Shab e Qadr ki tarah koi Makhsoos raat hoti aur uske bare me koi khaas Ahkaam hote jis tarah Shab e Qadr ke bare me hai to us tareekh aur Mahina Mehfooz rakhne ka aehtamam kiya jata. Lekin chunke is tareekh ko Mahfooz rakhne ka ahtemam nahi kiya gaya to ab Yaqeeni taur se 27 Rajab ko Shab e Meraj qarar dena durust nahi.

*BAQI KAL INSHA ALLAH*

📗SHAIKHUL ISLAM HAZRAT MUFTI TAQI USMANI D.B.KE ISLAHI KHUTBAT KE BAYAN KA KHULASA

No comments:

Post a Comment

AETIKAF KE MAKRUHAAT

*AETIKAF KE MAKRUHAAT* ⭕AAJ KA SAWAL NO.2101⭕ Aetikaaf kin cheezon se makrooh hota hai?  🔵JAWAB🔵 Aetikaf niche dee hui baton se makrooh ho...