Monday, April 24, 2017

27 RAJAB KE ROZE KA HUKM

*27 RAJAB KE ROZE KA HUKM*

(Msg 900 se aagey)

⭕AAJ KA SAWAL NUMBER  991⭕

27 rajab  ka roza rakhna kesa hai ?
is bare me fazeelat kee baaz riwayat bhi mashhoor hai jo baaz buzrogon ki kitab me bhi hai.

🔴AAJ KA JAWAB🔴

khaas kar ke 27 wee rajab hee ka roza zayada fazeelat wala samjh kar ya 1000 roze ke barabar samjh kar, aashoorah ke roze ki tarah sunnat mustahab samjhkar, rakhna jaiz nahi, is ke rakhne ka khaas ehtamam karna bidat hai.

Na huzoor SALALLAHU ALAIHI WASALLAM ne is ka ehtamam kiya,
Na sahaba r.d. ne, na tabieen ne, na tabea tabieen r.h. ne, na chaaron imamon r.h. ne is ka khas etamam kiya.

Is ke bare me jo ahadees bayan kee jatee hai un ko raeesul muhaddiseen dewbandi aur barelvi hazrat ke muatamad aur maane huwe hazrat shah abdul haq muhaddise dehalvi Rahmatullahi alayhi ne apni maheeno ke bare me kitab
(maa sabat minas sunnah safa 74) me mawzooa-manghadat banawati ya intihaee zaeef qarar diya hai.

Allamah siyootee Rahmatullahi alayhi ne
(al laaliyul masnooa fee ahaadeesil mavzooa 2/97) me is ke fazail manghdat qarar diye hai,

Mulla alee qaree Rahmatullahi alayhi ne bhi mawzoor farmaya hai

📗Al masnooa fee ahadeesil mawzooa safa 291.

Hazrat umar RADEEYALLAHU ANHU  baa qaidah gasht karte the, aur jis ne rajab ko khaas roza rakha ho us ke saamne khana rakh kar roza tudwate the aur farmate the rajab, rajab kiya hai ! Ahle jahiliyat us ki taazeem karte the, islam aaya to us kee tazeem chhod dee gai.

📗majmauz zawaid 3/194
📘Islahee khutbat jild 1 mahe rajab

✏IMRAN ISMAIL MEMON GUFIRA LAHOO
MUDARRISE DARUL ULOOM RAMPURA SURAT GUJRAT INDIA

http://www.aajkasawal.page.tl

No comments:

Post a Comment

AETIKAF KE MAKRUHAAT

*AETIKAF KE MAKRUHAAT* ⭕AAJ KA SAWAL NO.2101⭕ Aetikaaf kin cheezon se makrooh hota hai?  🔵JAWAB🔵 Aetikaf niche dee hui baton se makrooh ho...